WordPress Blog
What are WordPress tags?
WordPress tag ek default tool hai jiska use aap apne wordpress post ko categorize karne ke liye kar sakte hai.
Users
Post me agar category nahi dali jati hai to wo automatically default category me chala jata hai. Lekin post me tag automatically fill nahi hota hai jub tak user manually fill na kare. Post me tags ke add karne ki koi limit nahi hai aap jitni chahe add kar sakte hai. Lekin tags add karte waqt is baat ka khyal rakhe ke apne post me aise tag ka use kare jise long time tak reuse kiya ja sake. Tags article ko sort karne aur related content ko display karne me useful hote hai.
Visitors tags pe click kar ke similar tag wale post ko dhundh sakte hai. Tags blog me relavent content ko find karne aur bounce rate ko kam karne me hamari help karta hai.
WordPress categories
How To Add Tags In WordPress
WordPress tags ko add karne ke liye 2 options provide karta hai. Pahla jub aap kisi post ko likh rahe hote hai, ya edit kar rahe hote hai. Aap aasani ke sath post me right side pe aa rahe Tag box me tag ko add kar sakte hai.
Dusra aap directly Post ke option me tags me ja kar kar sakte hai. Yahan pe aap naye tags ko add kar sakte hai aur poorane tags ko manage kar sakte hai.