WordPress Tags Kya Hota Hai : WordPress Blog ke structure ko organize karne me Tags aur categories ek important role play karta hai. Aaj is post me hum aapko WordPress tags ke bare me batane ja rahe hai taki aap unhe better dhang se utilize kar sake.
WordPress Tags Kya Hota Hai ?
WordPress tag ek default tool hai jiska use aap apne wordpress post ko categorize karne ke liye kar sakte hai. Users apne WordPress post me tags ka use categories ke sath karte hai. Tags aur category ek different thing hai lekin tag aur categories dono content ko organize karne me help karta hai.
Post me agar category nahi dali jati hai to wo automatically default category me chala jata hai. Lekin post me tag automatically fill nahi hota hai jub tak user manually fill na kare. Post me tags ke add karne ki koi limit nahi hai aap jitni chahe add kar sakte hai. Lekin tags add karte waqt is baat ka khyal rakhe ke apne post me aise tag ka use kare jise long time tak reuse kiya ja sake. Tags article ko sort karne aur related content ko display karne me useful hote hai.
Visitors tags pe click kar ke similar tag wale post ko dhundh sakte hai. Tags blog me relavent content ko find karne aur bounce rate ko kam karne me hamari help karta hai.
WordPress Categories ke ulat tags completely optional hote hai. Aap chahe to tags ko apne post me add kar sakte hai aur chahe to bina tag ke publish kar sakte hai.
WordPress Men Tag Ko Add Kaise Karenge ?
WordPress tags ko add karne ke liye 2 options provide karta hai. Pahla jub aap kisi post ko likh rahe hote hai, ya edit kar rahe hote hai. Aap aasani ke sath post me right side pe aa rahe Tag box me tag ko add kar sakte hai.
Dusra aap directly Post ke option me tags me ja kar kar sakte hai. Yahan pe aap naye tags ko add kar sakte hai aur poorane tags ko manage kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( WordPress Tags Kya Hota Hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?