Apne post ke niche related posts ko show karna apne website pe visitors ko rakhne ka ek behtareen way hai. Yahi wajah hai ke bahut sare site owners pahle se hi related posts ka use kar ke un visitors ke number ko kam kar dete hai jo aapke article parhne ke baad apke site ko chor dete hai. Aap kah sakte hai ke related post section ek gond ki tarah kaam karta hai jo aapke post ko ek sath bandh kar rakhta hai. Lekin aap ye kaise sure kare ke aapke related post ka sense banta hai. Is article me hum aapko WordPress related post suggestion ke bare me batayenge. To chalye dekhte hai ke hum kis tarah se sahi dhang se WordPress related post suggestion add kare.
Aapko Related Post Suggest Kyu Karna Chahye
Apne audience ko related post suggest karne ke bahut se reasons hai. Sab se pahle aap apne audience ko apne page pe rakhna pasand karte hai, kyuki visitor jitna zyada aapke site pe rahta hai to wo utna zyada aapke content ko parhta hai aur is tarah se wo aapke brand ko zyada behtar tareeqe se janta hai.
Ho sakta hai ke end me aapka audience aapke newsletter ko subscribe kar le ya aapke kisi product ko order kar le. To sab se pahle aap apne reader ke liye in post ko add karte hai. Aur bonus ke taur pe search engine bhi in links ko follow karta hai.
Aur agar aap apne content se related topic se link karte hai to search engine ye zyada behtar dhang se samajhta hai ke aapka site kis bare me hai. Ye unhe search engine me use kiye jane wale search terms se sahi page ko add karne me help karta hai.
Also Read: Internal Linking Guide: Kyu Kare aur Kaise Kare
Related Posts Find Kaise Kare
Agar apke site pe bahut sare article nahi hai to aapke liye ye aasan hai ke aap use yaad rakh sake lekin agar aapke site pe bahut se article hai to ye aapke liye ek challenging kaam ho jata hai ke asap sare article ko yaad rakh sake.
Luckily, aap apne internal search ke related posts ko find karne ke liye use kar sakte hai ya phir aap aspni site pe search ke liye Google ka use kar sakte hai.
Agar aap WordPress pe hai to aap Yoast SEO Premium ka use kar sakte hai, ye aapke editing screen ke right-hand side me related content ko find aur suggest karne me help karega.
Agar aap is plugin ka use karenge to aap apne content ko edit karte waqt ap link karne ke liye posts, pages, tags, or categories ka 5 suggestions dekhenge.
Suggestions ke right me diya gaye labels ye show karta hai ke ye kis type ka post hai (for example, a post or tag page). Aapke user ke liye jis post ka sense banta ho aa0 use select kar le.
Cornerstone content
Aapke best, most complete, high-quality articles cornerstone articles kahlate hai. Ye article related post ko add karte waqt special treatment deserve karte hai. Jaisa ke ye aapke best content hai to log use parhna chahenge aur aap ye chahenge ke search engine unhe high rank kare.
Isliye aapko hamesha topic se related post se us topic par cornerstone post se link karna chahye. Yoast SEO ki help se aap post ko cornerstone content mark kar sakte hai aur ye internal linking suggestions me ye top me show hote hai. Aisa karne se aap unhe jaha pe link karna important hai waha pe nahi bhoolenge.
Anchor Text And Inline Links
Apne cornerstones se link karne ke sath hi kuch aur best practices hai jise aapko apne site pe dusre post ko link karte waqt follow karna chhaye. Jaise ke aapko relevant, on-topic, anchor texts ka use karna chhaye.
Jub ap apne posts ke actual text me link add karte hai joki apke post ke niche diye gaye related post section ke alag hota hai, to ye relevant content se ghira hota hai. Isliye ye link Google ke liye bottom me diye gaye separate section se zyada valuable hota hai.
Iske sath hi is section me social share buttons, bio, aur aapka newsletter subscription hota hai. Aur ye Google ke liye is section ko less useful banata hai.
Read More Section Add Kare
Ab aap soch rahe honge ke kya aapko apne post ke end me related posts ko add karna chhaye? Aapko karna chahye. Aapko is section me ek cornerstone ko add karna chahye jise sab parh sake aur dusra aise content ko add kare jo logon ke turant parhe gaye content se closely related ho.
Aap aisa manually bhi kar sakte hai lekin agar aap plugin ka use karenge to ye aapke time ko save karega. Agar aap Yoast SEO Premium, ka use kar rahe hait to aap Related Links blockka use kar ke 5 internal linking suggestions ki list ko ek sath add kar sakte hai.
Of course aap ye customize kar sakte hai ke aap is block me kaun sa link rahega, isliye unhe check karna na bhoole. kyuki aap apne audience ko khud behtar jante hai ke wo kya parhna chhate hai.
Ummid hai aapko WordPress related post ka ye article (WordPress related post suggestion Kaise Add Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (WordPress in Hindi) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.