Kabhi kabhi aap apne WordPress Site Ka Password bhul jate hain ya fir kisi security ke wajah se password change karna chahte hain. To uss situation ke liye login page par ek lost password link rahta hai jo apko apna password reset karne ke liye allow karta hai. Lekin kabhi kabhi apka WordPress Password reset email apke inbox me nahi aata hai kyunki apki WordPress hosting company ne ise thik se configure nahi kiya hai.
Dusri baar aap security reasons ke wajah se apni website par sare user ke liye WordPress password change karne ke liye force kar sakte hain. Yaha hamlog janenge ki WordPress Site Ka Password Change Kaise kare ?
WordPress Password Change Karne se Pahle :
Ham iss baat par zor nahi de sakte hain ki hacking attempts ke khilaf aapki pahli defense line passwords hai. Strong passwords yaad rakhna mushkil hai. Ham sabhi ke pas bahut sare online accounts hote hain aur har account ke liye ek unique password use karna aur unhe yaad rakhna impossible hai.
Bahut sare users WordPress ke liye ek weak password use kar lete hai kyunki ye yaad rakhna asaan hota hai. Please aisa nhi kiya kare. Niche 3 best secure password managers diye gaye hain. Jiska use kar ke bina kisi problem ke passwords ko easily yaad rakha ja sakta hai.
Kabhi kabhi ye aapko apne WordPress password ko team members ya yaha tak ki contract developers ke sath share karne ke liye attract karta hai. Lekin aapko apne WordPress password ko kabhi bhi kisi ke sath bhi chahe wo apke team members ho ya contract developers share nahi karna chahiye.
Iske bajae ham aapko sahi user role ke sath ek new user account create karne ke liye recommend karte hain, taki aap permissions manage kar sake. Iss tarah se jab wo aapke team ke part nahi honge to aap apne WordPress ke main password ko change kiye bina unke account ko asaani se delete kar sakte hain.
Apne WordPress site par ek new user add karne ke liye simply “Users » Add New ” par click kare aur form ko fill kare.
Sabse pahle aapko ek users name provide karne ki zarurat hai. Uss chiz ka use kare jo aapke zariye add kiye gaye user ke liye yaad rakhna asan ho. Unhe login karne ke liye username yaad rakhan hoga. Ek good strategy ye hai ki, users ke first name ke first letter ko unke last name ke sath use kiya jaye.
Next aapko users ka email address enter karna hoga. Email address ko Double check kare kyunki users ko apna password reset karne ya email notifications receive karne ke liye iski zarurat padegi. Aap first name, last name, aur website information enter kar sakte hain. Lekin ye optional fields hai aur users unn fields me fill karne ke liye apne profiles ko baad me edit kar sakte hain.
Next item ek password select karna hai. Aapko ek strong password ka use karna chahiye. Ham uss purpose ke liye online strong password generator use karne ke liye recommend karte hain.
Password fields ke niche aapko ek checkbox dikhai dega jise aap email ke zariye se users ko password send karne ke liye dekh sakte hain. Users aapke zariye enter kiye gaye email address par unki login information receive karenge.
Page ka last option user ke liye role choose karna hai. Har ek user role capabilities different set ke sath aata hai. Subscriber kam se kam powerful role hai, aur administrator ya network admin most powerful role hota hai. User ko aapke website par kon sa tasks perform karna hai, isske upar depended ek role choose kare. To chaliye ab hamlog jante hain apne WordPress password ko change karne ke diff diff tarike ko.
2 Minutes me Apna WordPress Password Change Kare :
Ye aapke WordPress password ko change karne ke liye sabse asaan tarika hai. Sabse pahle aap apne WordPress website par login kare. Aap apne browser me apna WordPress login URL (for example, https://example.com/login/) enter kar ke aisa kar sakte hain.
Jab aap login ho jate hain to apne WordPress dashboard menu se “Users » Your Profile” par jaye.
WordPress profile par scroll down kar ke “Account Management” section par jaye, jahan aapko New Password option dikhega. New password add karne ke liye “Generate Password” par click kare.
WordPress automatically apke liye ek strong password create karega.
Aap iss strong password ko continue rakh sakte hain ya ise khud ke new password se change kar sakte hain. Uske baad aap new password save karne ke liye scroll down kar ke “Update Profile” button par click kare.
Next ab aapko top me ek Profile Updated notification dekhai dega. WordPress apke email inbox me password change hone ka ek notification send karta hai.
Loged Out WordPress site ka Password Reset Kare :
Jab aap apne WordPress dashboard tak pahunchte hain to upar wala method apko apna Password change karne ke liye allow karta hai. Lekin kiya hoga agar aap apna password bhul gaye hain aur apne WordPress ko login nahi kar sakte hain?
WordPress me apne lost password ko recover karne ke liye ek bahut hi asan tarika hai. Aap simply apne WordPress login page (https://example.com/wp-login.php) par jaye aur “Lost your password ?” par click kare.
Uss par click karne ke baad ye apko password reset page par le jaega. Aapko apne account par password reset karne ke liye, yaha apne WordPress blog me log in karne ke liye use kiya jane wala username ya email address enter kare.
Next “Get New Password” button par click kare.
Next ab WordPress apke user account se jure email address par password reset link send karega. Ye aapko login screen par “Check your e-mail for the confirmation link” notification show bhi karega.
Apna email inbox check kare, Subject [Your Blog Title] Password Reset ke sath ek email hoga. Agar aapko turant apne inbox me email show nahi ho raha hai to kuch minutes wait kare. Agar aap wait karne ke baad bhi aisa koi email nahi dekh rahe hain to apne Spam or Junk Mail folder ko check kare.
Jab aapko email milta hai to niche diye gaye massage me se similar ek message honge :
- Someone requested that the password be reset for the following account:
- http://www.your-website-url.com/
- Username: your-username
- If this was a mistake, just ignore this email and nothing will happen.
- To reset your password, visit the following address:
- <http://www.your-website-url.com/wp-login.php?action=rp&key=xxxyyyzzz1112223&login=your-username>
Apna password reset karne ke liye second link par click kare. Ye link aapko apne website par wapas le jaega aur aapke WordPress account ke liye ek new password enter karne ke liye allow karega.
WordPress automatically apke liye ek strong password generate karega. Aap apne khud ke strong password ko use karne ke liye ise chnage kar sakte hain. Strength indicator bar aapko apne password ka strength bataega. WordPress apko ek weak password generate karne deta hai lekin wo strong password choose karne ke liye recommend karta hai.
Ek strong password 8 characters se zayada lamba hota hai, jisme upper aur lower dono tarah ke letters hote hain, jisme numbers, aur special characters jaise ! ” ? $ % ^ & etc hoten hain.
Jab aap password enter kar lete hai to “Reset Password” button par click kare. Aapko ek “Your password has been reset. Log in” notification show hoga.
Congratulations, aapne apna WordPress password successfully reset kar liya hai. New password ka use kar ke apne WordPress blog me sign in karne ke liye “Login” link par click kare.
Database se WordPress Password Change kare :
Upar diya gaya “Lost Password” method beginner friendly hai. Lekin kabhi kabhi aap uss method ka use nahi kar paenge, agar aapke paas account se jure email address ka access nahi hai ya agar aapka WordPress site email send karne me fails ho jata hai.
Agar aisa situation aata hai to aap apne database me directly apna WordPress password reset kare. Aisa karne ke liye sabse asaan tarika phpMyAdmin hai.
Sabse pahle aap apne WordPress hosting account ke control panel me login kare. Uske baad Databases section ke andar “phpMyAdmin” option par click kare.
Note: Aapka screen different dikh sakta hai kyunki har ek hosting provider ka apna control panel hota hai. Agar aapko phpMyadmin link dhundne me mushkil ho raha hai to apne hosting support se contact kare.
phpMyAdmin app launch karne ke baad, Aapko apne sabhi databases ka ek list dikhai dega. Aap apne WordPress site se jure database ko select kare.
Uske baad aap apne WordPress database me tables ke list dekhenge. Aap iss list me wp_users table dekhe aur uske paas wale “Browse” link par click kare.
Ye aapko aapke WordPress site ke sabhi user ke list ko show karega. Iss page par aap apne user account ke paas wale “edit” link par click kare.
PhpMyAdmin aapko sabhi user information fields ke sath ek form dikhai dega. Aap user_pass field me value ko delete kar ke new password se replace kare. Function column ke andar drop-down menu se MD5 select kare aur “Go” button par click kare.
MD5 hash ka use kar ke aapka password encrypted kiya jaega aur fir use database me store kiya jaega. That’s all, aapne apna WordPress password successfully changed kar liya hai.
Ab aaplog soch rahe honge ki hamne password encrypt karne ke liye MD5 hash kyun select kiya hai. Purane version me “WordPress” passwords encrypt karne ke liye MD5 hash ka use karta tha. WordPress 2.5 ke baad se, isne stronger encryption technologies ka use karna shuru kar diya hai.
WordPress abhi bhi MD5 ko backward compatibility provide karne ke liye pahchanta hai. Jaise hi aap MD5 hash ke roop me stored password string ka use kar ke login karte hain, WordPress ise pahchan leta hai aur newer encryption algorithms ka use kar ke ise change kar deta hai.
Sabhi Users ke liye WordPress Password Change kare :
Agar aapki website hack ho gayi thi ya aapke industry ke paas kuch certain data compliance regulation hai, to apko sabhi users ko WordPress Password Change karne ke liye force karna pad sakta hai. Ye ek Password Expiration plugin ka use kar ke asani se kiya ja sakta hai.
Sabse pahle aap apne WordPress website par Expire Passwords plugin ko install aur activate kare. Kisi bhi plugin ko humlog install aur activate kaise karte hain iske bare me zyada detail me janne ke liye aap hmare step by step guide WordPress Plugin Install Kaise Kare ki help le sakte hain.
Activation ke baad apne plugin settings ko configure karne ke liye, apne WordPress dashboard menu bare me Users » Expire Passwords page par jaye.
Settings page par first option aapko days number ko set karne ke liye allow karta hai, jiske baad users ko apna password change karna padta hai. Uske baad aap unn user roles ko select kare jinn par ye policy apply hoti hai. Ideally, aapko administrator ko chor kar sabhi user roles ko select karna chahiye. Agar aap apne website ke akele administrator nahi hai to aapko administrators ko bhi mark karna chahiye.
Apni settings ko save karne ke liye “save changes” button par click kare. Ab jab users specified period ke baad login karta hai to unhe password reset screen par redirect kiya jata hai.
WordPress me sabhi User Passwords ko Quickly Expire kare :
Hamare zariye mentioned plugin aapko apne website ke liye password update policy set karne ke liye allow karta hai. Kabhi kabhi hacking attempt ke wajah se aapko immediately sabhi users ke password ko reset karne ki zarurat ho sakti hai.
Sabse pahle aap apne WordPress website par Emergency Password Reset plugin ko install aur activate kare. Kisi bhi plugin ko humlog install aur activate kaise karte hain iske bare me zyada detail me janne ke liye aap hmare step by step guide WordPress Plugin Install Kaise Kare ki help le sakte hain.
Activation ke baad apne plugin settings ko configure karne ke liye, apne WordPress dashboard menu bare me Users » Emergency Password Reset page par jaye aur “Reset All Passwords” button par click kare.
That’s all, plugin immediately sabhi WordPress users ke liye password reset karega jisme administrators bhi shamil honge. Ye sabhi users ko apna password reset karne ke liye instructions ke sath ek email send karega.
Ummid hai aapko ye article (WordPress Site Ka Password Change Kaise kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress me IP Address Block Kaise Kare
- 14 Best WordPress SEO Plugins and Tools – Jise Aapko Use Karna Chahiye
- WordPress Sticky Posts Kab aur Kaise Create Kare ?
1 comment
very useful article
Comments are closed.