Media files ko up load krte waqt, WordPress inki kuchh copies banata hai, Jo ek time ke baad bahut zyada ho jati hai, Jinka apki website pe kahin use nhi kiya jata hai. WordPress Media Library Clean krne se apke hosting server pe disk space bachta hai aur backup size bhi reduces hota hai. To aaiye dekhte hain ki hume WordPress Media Library Clean Kiyun krna chahiye aur ise Clean krne ke 2 Easy Methods.
WordPress Media Library Clean Kiyu Kare ?
WordPress apki website par upload ki gyi image ki copies create krta hai. WordPress theme aur plugin additional image sizes ke liye request kar sakte hain. Image sizes ke alawa, Aap apni images ko upload hone se rok skate hain jinka apki website pe kahin pe bhi use nhi hai.
Ye Media file apke WordPress hosting server par disk space leti hai, Ye apke WordPress backup sizes ko bhi increase karti hai. Jiska matlab hai ki apki website pe backup ko transfer ya restore krne me zyada time lag sakta hai. Agar aap kuchh time se WordPress Website chala rahe hai, Tab aap WordPress media library ki cleaning ka benefits utha sakte hain.
Is article me humlog two different plugins ke through Media Library ko clean krenge, Apko dono mese jo bhi method easy lage aap choose kar lijye.
Note: Aap unused media files ko hmesha ke liye delete kar ke uski cleaning karenge. Lekin usse pahle apne WordPress website ka backup lena na bhulen. WordPress ka complete backup lene ke liye aap hmare guide ki help le sakte hain : Apne WordPress Blog Ka Complete Backup Kaise Kare ?
Method 1 : Clean up WordPress Media Library using Media Cleaner :
Is method me humlog Media Cleaner plugin ka use karenge. Ye plugin apko free me available hai aur iske pro version me apko kuchh extra feature mil jyenge. Sabse pahle apko jo kaam karne ki zarurat hai vo hai Media Cleaner plugin ko install aur activate krna. Kisi bhi plugin ko humlog install aur activate kaise karte hain iske bare me zyada detail me janne ke liye aap hmare step by step guide WordPress Plugin Install Kaise Kare ki help le sakte hain.
Media Cleaner plugin ko install aur activate krne ke baad apko ana hai Media » Cleaner page pe, taki aap apne WordPress media library ko analyze kar sake. Plugin apko reset krne ke liye ask kar sakta hai. Is process ke dauran ye data stored krne ke liye apko WordPress database me ek new table bnyega. Uske baad media analysis start krne ke liye apko Scan button pe click krna hai.
Media Cleaner ab apki media library me aur apke WordPress Post aur Page ke andar Files ki talsh krega. Aur ye un files ko khojne ki koshish krega jo apki media library me hai lekin apki website pe kahin bhi use nhi kiya huaa hai. Apki media library ke size aur apke paas available content ke according is process me kuchh time lag sakta hai.
Ek baar jab ye process complete ho jyega uske baad, Apko result ki ek list dekhne ko milegi, Yeh apko us sabhi media files ko dikhyega jo currently apki website par use me nhi hai.
List dekhne ke baad apko jo bhi files apne website me nhi rakhna hai use delete kar sakte hain, Ya fir Delete All button pe click kar ke instantly sare unused media files ko delete kar sakte hain.
Method 2 : Clean Up WordPress Media Library using Media Dedupper :
Is method me humlog Media Dedupper plugin ka use karenge. Ye plugin bhi apko free aur paid version me available hai. Sabse pahle apko jo kaam karne ki zarurat hai vo hai Media Dedupper plugin ko install aur activate krna. Kisi bhi plugin ko humlog install aur activate kaise karte hain iske bare me zyada detail me janne ke liye aap hmare step by step guide WordPress Plugin Install Kaise Kare ki help le sakte hain.
Media Dedupper plugin ko install aur activate krne ke baad apko ana hai Media » Manage Duplicates page pe aur Index Media button pe click krna hai apne media library ko analyze karne ke liye.
Ab plugin apke media library ke duplicate images ko analyze krna start kar dega, Fir aap sare duplicate image ko dekh sakenge jo apki website pe kahin pe bhi use nhi hain.
File reviewing ke baad, Aap sabhi files ya specific duplicates ko select kar ke simply delete kar sakte hain, Yafir Bulk actions ke liye drop-down menu se ‘Smart Delete’ option ko select kar ke Apply button pe click kar sakte hain.
Smart Delete feature ye sure krega ki apki website par use ki ja rahi images delete huai hai ya nhi. Ye apke duplicate images ko bhi merge kar dega.
Optimizing Your Media Files :
Ab jab apne apni website pe duplicate images ki clean up ki hai, To next step hoga existing media ko optimize krne ka. Bhut se beginners, direct image upload krte hain apne phones aur cameras se. Aur ye high-quality images aksar file size me bhaut badi hoti hain. Aur ye disk space, backup sizes increase krne ke sath sath WordPress speed aur performance ko bhi affect krti hai.
Aap image quality loose kiye bina apni media files ko automatically customize karrne ke liye WordPress image compression plugin ka use kar skate hain. Isko detail me janne ke liye Aap hmare tips ka use kar sakte hain : Web Performance Ke Liye Images Optimize Kaise Kare – Without loosing Quality
Ummid hai aapko ye article ( WordPress Media Library Clean ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Read Also :
- WordPress Se Custom Welcome Email Kaise Bheje ?
- WordPress me WP Rocket Install and Setup Kaise Kare
- WordPress Dropdown Menu Create Kaise Kare (Beginners Guide)
- Sare Browsers Me Apna Browser Cache Clear Kaise Kare (Fast Way)