Kabhi kabhi aisa bhi hota hai ke add media button suddenly work karna band kar deta hai. Is problem me koi bhi error nahi show hota hai jis wajah se user ko pata nahi chal pata hai ke ye problem kyu creat ehua hai. Aaj is article me hum aapko batayeneg ki WordPress Me Add Media Button Ko Kaise Fix Kare ?
WordPress Me Add Media Button Ko Kaise Fix Kare ?
Add media button not working problem ko fix karne ka sab se aasan tareeqa ye hai ke aap apne wp-config.php file me niche diye gaye code ko add kare. Code ko add karne ke liye aap FTP aur file manager method se file ko access kar sakte hai. Aap wp-config.php file ko edit kar ke ‘That’s all, stop editing! Happy blogging’ line ke pahle is code ko paste kar sakte hai.
define(‘CONCATENATE_SCRIPTS’, false );
This code simply tells WordPress to load each script separately which helps avoiding a JavaScript conflict with buggy scripts and the core WordPress features.
Ye code WordPress ke har script ko separately load karne ke liye kahta hai, jo buggy scripts aur core WordPress features ke sath javascript conflict ko avoid karta hai.
Code ko paste karne ke baad aap post edit screen pe ja kar dekhe ke add media button work kar raha hai ke nahi.
Code ko add karne se aapki problem long-term ke liye khatm nahi hogi, kyu ki issue cause karne wala script abhi bhi hai. Agar aap long term solution chahte hai to aapko ye pata karna hoga ke kaun sa plugin ya theme is issue ko create kar raha hai. Kyu ki aksar plugin aur theme bhi is issue ko create kar sakte hai.
Aapko is method ka use apne live site ki jagah staging site pe karna chahye. Aur agar issue resolve ho jata hai to iska matlab hai ke koi plugin is issue ko create kar raha hai.
Ab aapko sabhi plugin ko one by one activate karna hai aur Add media button ko check karna hai ke wo kaam kar rah hai ke nahi. Ye aapko us plugin ka pata lagane me help karega jo is issue ko create kar raha hoga. jub aapko pata chal jaye ke kis plugin ki wajah se ye issue creat eho raha hai to aap us plugin ko dusre plugin se replace kar len.
Agar plugin ko deactivate karne se ye issue solve nahi hota hai to aap temporarily default theme jaise ki Twenty Seventeen me switch kar jaye.
Agar theme ko switch karne se aapki problem solve ho jati hai to iska matlab hai ke aapka theme ye issue create kar raha tha. Aap dusre theme pe switch kar sakte hai.
Ek baar jub aap apne staging site pe problem ko fix kar len to phir aap ise apne live site pe problem ko fix karne ke liye apply kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( WordPress Me Add Media Button Ko Kaise Fix Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?