WordPress Blog Kaise Set Up Kare : WordPress ko apne hosting account pe install kar lene ke baad aapke pass 100% control hai ke aap apne blog ko kaise set up karte hai. Har hosting company ek dusre se thori different hoti hai aur aapke pass select karne ke liye bahut si companies hai. WordPress ko easily access karne ke liye WordPress team Bluehost ko recommend karti hai.
Abtak humne aapko Godaddy se WordPress installation ke process ko bataya hai. Jise aap niche diye gaye link pe ja kar dekh sakte hai.
Ek successful blog create karne ke liye sab se pahle zaroori hia ke aap use theek se set up kare. Aapko apne blog ko setup karne me kuch time lagega lekin ye aapke liye bahut zyada faydemand hoga. To aaeye dekhte hai how to set up a wordpress blog.
WordPress Blog Kaise Set Up Kare ?
WordPress blog ko set up karne ke liye sab se pahle aapke hosting account pe WordPress install hona chahye. Uske baad kuch basic settings hai jinhe aapko apni site pe set up karna chahye. Agar aapne itna kuch kar liya hai to aap niche ke step ko follow kare.
Submit Sitemap :
Apne site ka site map create kare aur Google Webmaster Tool me submit kare. Site map submit karne ka process easy hai aur ye search engine bots ko aapki site ko crawl aur index karne me help karega.
Aap Google XML Sitemap plugin ki help se apne site ka site map generate kare. Sitemap submission process ke full guide ko niche diye gaye link se parhe:-
- Google search me Sitemap kaise submit kare
Write About Page :
Khud ke aur blog ke bare me “About page” pe zaroor likhe. Aapka about page hi wo jaagah hai jahan pe reader aapke aur aapke blog ke bare me jaan pate hai. Records ke mutabiq aapke blog ka “About page” hi sabse zyada view kiye jane wala page hota hai.
Aapko apne about page me aise content dalne chahye ke aapke visitors aapke subscriber ban jaye. About page aapke blog ke liye important hi nahi balki essential hai. About page ki help se log aapko zyada se zyada jaan pate hai aur aapke subscriber bante hai.
Set Up Contact Page :
Contact page aapke aur aapke subscribers ke beech me communication ka ek means hota hai. Isliye apna contact page provide karna bahut zaroori hai. Contact page pe aap apna contact information dale ye aapko advertisers ko aapko sponsorship ke liye disscuss karne me bhi help karega.
Set Up Categories :
Apne site me kuch categories create kare taki aapko apne content ko categaries karne me help mil sake. Categories aapke visitors ko site ke navigation ko easy banata hai aur aapke reader ko blog ke bare me ek brief idea deta hai ke aapka blog kis bare me hai.
Install An Anti-Spam Plugin :
Apne blog pe anti spam plugin install kare. Bahut saare spammers hai jo aapki site pe spam link comment ke through daal dete hai jo aapki site ke search engine ranking ko affect karta hai. Isliye anti spam plugin ka hona aapki site pe bahut zaroori hai.
Akismet ek popular anti-spam plugin hai joki aapke wordpress ke installation ke sath hi aata hai. Ise install kare aur use kare.
Blog Backup :
Apki site pe backup plugin hona bahut zarrori hai, taki agar aapki site ko kisi bhi tarah ka koi data loss ho to aap use easily backup le sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( WordPress Blog Kaise Set Up Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?