What is User Interface?
User Interface (UI) computer application ya operating system ka Visual part hota hai jiske through user computer ya software ke sath interact kar pate hai. User Interface ki help se user software application ya hardware device ko control kar pate hai. Interface hame batata hai ke computer ya program ko instruction kaise diya jata hai aur screen pe information kaise display hota hai. Ek accha Interface “user-friendly” experience provide karta hai aur user ko software ya hardware se natural tariqe se Intract karne me help karta hai.
Also Raed: Best Android Processors
Lagbhag sabhi software program me Graphical user Interface (GUI) paya jata hai. Software Programs me graphical control diya jata hai jiski help se user mouse ya keyboard ko select kar pata hai. Kayi alag tarah ke user Interfac kayi different tarah ke device aur program ke sath aate hai. Interface me kuch similarities hoti hai aur kuch defference hote hai. To aaye jante hai Types of Interface ke bare me.
Types of Interface
Computer system se Interact karne ke bahut saare ways hai jo abtak develop ho chuke hai. Hum aapko 5 main type ke interface ke bare me yahan pe bata rahe hai.
- Command-Line Interface (CLI): Aise Interface me user ko machine aur program-specific instructions or codes ka pata hona chahye. User command string ki help se Instruction type karta hai aur system computer ke screen pe text ke form me output provide karta hai.
- Graphical User Interface (GUI): Is Interface me screen pe display ho rahe icons ko select kar ke user command deta hai. Is tarah ke interface me kisi program ke input aur output ko represent karne ke liye word ki jagah picture ka use kiya jata hai. Input mouse ya keyboard ki help se diya jata hai.
- Menus: Is Interface me user screen pe display ho rahe list se command ko select karta hai. Ye Interface zyadatar cash machines jaise ATM, Ticket machines wahghairah pe generally use kiye jate hai, Joki ek simple aur easy Interface provide karta hai.
- Form Based: Form-based Interface me text-boxes, drop-down menus, text areas, check boxes, radio boxes ka use kiya jata hai. Is tarah ke UI ka use generally site pe user ke data ko collect karne ke liye kiya jata hai.
- Natural language: Natural language interface ek spoken Interface hota hai jahan pe user bol kar device se intract karte hai. Is tarah ke Interface ko ‘conversational interface’ bhi kaha jata hai. Ye Interface abhi zyada popular nahi hua hai kuch deveice jaise iPhone aur windows me ise shri aur Cortana ke form me use kiya ja raha hai.