WordPress Theme ya Plugin ko apne Website pe implement karne ke liye hame sab se pahle unhe apne website pe upload karna parta hai. Theme aur plugin ko install karne ka well known method dashboard hai. Aaj is ppost me hum aapko batayenge File Manager Ki Help Se Upload Theme Plugin Via Cpanel.
Dashboard method me hum apne admin area me login kar ke dashboard me Appearance aur Plugin ke option me ja kar Theme aur plugin ko install kar sakte hai. Theme aur Plugin ko Dashboard se install karne ke liye niche diye gaye link ko follow kare.
Dashboard method ki help se aap apne website pe easily aur fast theme aur plugin Install kar sakte hai.
Lekin kabhi kabhi ye method kaam nahi kartaa hai aur error display hota hai. Isliye aise condition me hum ya to FTP method ka use kar sakte hai ya phir cPanel ka. CPanel panel kay hota hai ye janne ke liye niche diye gaye link ko follow kare.
File Manager Ki Help Se Upload Theme Plugin Via Cpanel :
Step 1. CPanel me login karne ke liye apne site ke URL ke aaga ‘/cpanel’ add kare aur enter press kare.
Step 2. Apne cPanel me login karne ke liye apna Username aur Password enter kare aur login pe clcik kare.
CPanel me aap apne hosting service provider account ke through bhi login kar sakte hai. cPanel ka home screen is tarah dikhega.
Step 3. Home screen pe Files ke section me aa rahe File manager ke option ko select kare.
Step 4. File manager me public html file ko select kare. Yaha se aap apne website ke sabhi content ko delete upload ya edit kar sakte hai.
Step 5. Ab aapko wp-content file ko open kare.
Step 6. Wp-content folder me aapko Plugin aur Theme dono ke option milenge, plugin ko install karne ke liye aapko Plugin ke option ko select karna hai aur theme ko install karne ke liye aapko theme ke option ko select karna hai.
step 6. Ab aapko upar me aa rahe upload ke option pe click karna hai aur us zip file ko select karna hai jise aap upload karna chahte hai. Yahan pe hum Akismet Anti-spam plugin ko upload kar rahe hai.
Select file pe clcik kar ke zip file ko select kare.
Step 7. File ko upload kar lene ke baad aapko apne admin area me login kar ke dashboard me aa kar apne theme ya plugin jise aapne upload kiya hai use activate karna hoga.
Step 8. Go back to home pe clcik kar ke aap home screen pe aa jaye.
Ab aap dekhenge ke plugin ka zip file aapke plugin directory me dikhega.
Step 9. Ab zip file ko select kare aur extract ke option pe clcik kar ke file ko extract kare.
Step 10. Ab aap dashboard me plugins me ja kar plugin ko activate kar len.
CPanel method ke use se aap kisi bhi size ke theme aur plugin ko upload kar sakte hai. Is Method me aapko size ka koi bhi restriction nahi hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Upload Theme Plugin Via Cpanel ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?