Jab bhi website bnane ya website ko secure karne ki baat hoti hai tab SSL ki baat zaroor hoti hai, to chaliye jaante hain SSL Certificate Kya Hai, SSL ka matlab kya hai ya SSL protocol Kya hai ?
Is Article me Padhen :
- SSL Kya Hai ?
- SSL Zaroori Kiyon Hai ?
- SSL Kaise Activate Karen ?
- SSL Certificate Kya Hai ?
- UCC SSL Certificate kya Hai ?
Kisi bhi website ko secure karne ka sabse pahla step hai SSL, isliye kisi bhi website developer ya website owner ko ye jaana bhot zaroori hai ki SSL kay Hai ?
SSL Kya Hai ?
SSL ka full form Secure Sockets Layer hota hai, or ye kisi bhi website ke liye bhot important term hai. Hum Sabhi aaj ke waqt me saara kaam internet ke upar hi karte hain, jaise ki Internet Banking, Online Shopping, Social Networking, or har jagah lagbhag hum apni personal details jaise ki Name, Address, Phone Number, Credit/Debit Card Details, Net banking details wagairah daalte hain. Ye sabhi Information kafi sensitive hoti hain.
Ab Zara Sochiye ki Hackers ko agar aapke Credit Card ya net banking ki information mil jaye to kya hoga, wo aapke saare paise uda dega. Ab Isi Data chori se bachne ke liye SSL ko develop kiya gya.
Aapne 2 trah ke Website URL dekhe honge
- http://examplewebsite.com (UnSecure )
- https://examplewebsite.com (Secure )
In dono URL me 1st URL http://examplewebsite.com Unsecure URL ya Unsecure website hai iska matlab ye hai ki ye website SSL Certificate nhi use kar rha hai, or Yahan se aapka Data jaise ki Credit card, net banking ya koi bhi sensitive data chori ho sakta hai.
Doosra URL https://examplewebsite.com ek Secure URL ya website hai, Iska matlab ye hai ki ye website User Data Protection ke liye SSL Certificate use kar rha hai. or yahan par aapka Data poori trah se secure hai.
Upar ke example se ye Clear hai ki jo Website http:// se shuru hoga wo un-secure website hoga or us website ke upar aapko Apni information nhi daalni hai.
Lekin Agar koi website? https:// se shru hota hai to iska matlab hai ki wo website secure hai. Saath hi aapko Padlock? ka icon bhi dekhne ko milega. to is trah ki website ke upar aap apni personal information or sensitive data jaise ki credit card debit card ki information share kar sakte hain.
SSL Zaroori Kiyon Hai ?
Kisi bhi trah ke Data ki chori Website or server ke beech me hoti hai. har website ka Data kisi Web Host or Server par save hota hai, Aap jab bhi kuch bhi daalte hain ya Click karte hain to website or browser Server se Communicate karta hai or wahan wo Data save karta hai ya wahan se data Access karta hai. Hackers usi Communication ko target karte hain.
SSL Server and website ke beech ke communication ko encrypt kar deta hai or is wajah se Data ki chori impossible ho jaati hai, Lekin Agar koi website SSL use nahi kar rha hi to aise me aapka exact Data transfer hota hai or Aise me Data Hack hone ka dar hota hai.
SSL for Website Owner
SSL Apke website ko secure karne ke saath hi google search me Rank karne me madad karta hai kion ki ab google sirf unhi website ko rank karti hai jo SSL certified hota hai. Agar aapka website SSL secure hai to users without hesitation aapke website par visit karte hain. Ab Jitne bhi Modern Browser hain wo un-secure website par visit karna allow nhi karte so Agar aap Website owner hain to jald se Jald SSL install kar len apne website par.
SSL Kaise Activate Karen ?
SSL apni website per activate karne ke liye aapko SSL Plane Buy karna padega, Ya kuch Hosting company Jaise Bluehost, Siteground, WPEngine aapko free me hosting plane ke saath SSL deti hai, is condition me aapka domain by default SSL certified hota hai. Aap CDN jaise Cloudflare jaisi website se free me bhi SSL paa sakte hain. Free SSL Activate karne ke liye ye Article Padhen.
SSL Certificate Kay hai ?
Jab bhi aap apni website ke liye SSL buy karte hain to aapki website ke liye ek SSL certificate Issue kiya jaata hai. jise aapko apne hosting pannel me jaakar install karna hota hai. Install karne ke baad hi aapka website SSL certified hota hai.
Maan lijiye aapne GoDaddy se SSL buy Kiya or Aap apni website Hostgator par Host kar rahe hain, Aise me aapko Issue kiye gaye SSL cirficate ko Download karke Hostgator ke cPanel ke SSL section me jakar use install karna hoga. To ye kafi achi baat hai ki aap agar kabhi hosting provider change bhi karte hain to aapka SSL humesha Active rahega.
Main Aapko suggest karunga aap humesha aise Hosting Provider se website ko host karen jahan aapko SSL free mil jaye. Jaise SiteGround, BlueHost, WPEngine. Godaddy, Hostgator, BigRock se bhi aapko free SSL mil jayega Agar aap Premium ya Zyada dinon ke liye hosting buy karte hain to.
UCC SSL Cirficate Kya hai ?
UCC ka full form hai Unified Communication Certificate. Agar aap Ek hi hosting plane se Multiple websites run kar rahe hain As an Addon Domain or aap sabhi addon domain ko SSL certified karna chahte hain to aise me UCC SSL aapko buy karna hoga.
UCC SSL Primary Domain ke saath issue hota hai jise aap change nhi kar sakte hain, lekin addon domain ko aap jitni baar bhi chahen change kar sakte hain.
Primary Domain wo Domain hota hai jo Hosting Plane ke saath Activate ya Setup kiya hua Hoata hai. Hume Hosting plane ke according Addon Domain add karne ke options milte hain. to agar aap Primery aur Addon Domain sabhi ko SSL secure karna chahte hain to aapko UCC SSL Certificate buy karna hoga.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( SSL Certificate Kya Hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.