Kabhi aap ne socha hai ki popular sites apne article me trademark ™, copyright ©, registered ®, ya currency characters kaise add karte hai ? Recently hamare ek users ne mujhse puchha hai ki, kiya WordPress post ya pages par Special Character Add karne ka koi asaan tarika hai. Ye characters average keyboard me nahi milta hai isliye beginners ke liye ise use karna mushkil ho jata hai. To isliye yaha hamlog detail me janenge ki WordPress Posts Me Special Character Add Kaise Kare ?
WordPress Block Editor Me Special Characters Add Kare :
“WordPress block editor” me paragraph format karne ke liye koi bhi special block or menu button nahi hota hai. Isliye yaha par do aise tarike hain, jinka use aap WordPress block editor me Special Characters Add karne ke liye kar sakte hain. To chaliye yaha hamlog dono method ko dekhte hain taki aap decide kar sake ki aap ke liye kon sa method asaan hai.
- Method 1: HTML Entity Code use kar ke WordPress me Special Characters Add kare
- Method 2: Plugin use kar ke WordPress me Special Characters Add kare
Method 1:
WordPress me Special Characters Add kare ( HTML Entity Code )
Jab aap ek blog post likhte hain to WordPress automatically HTML formats me ho jata hai. Ye lagbhag sabhi website ke zariye use ki jane wali markup language hai.
‘HTML’ HTML entities ke list ke sath ata hai, HTML entities special codes hota hai jinka use aap HTML ke andar characters, symbols, arrows etc ko display karne ek liye karte hain.
Ye aapko HTML me Special Characters Add karne ke liye allow karta hai jo normally keyboard layouts me nahi milta hai. For example, Agar aap apne WordPress post ya pages me niche diye gaye marks ko add karna chahte hai to uske paas wale HTML entities special codes ko use kar sakte hain.
1. Trademark ™ - ™
2. Copyright © - ©
3. Registered ® - ®
4. Double quotation angle mark » - »
5. Section sign § - §
6. Exclamation mark ! - !
7. YEN sign ¥ - ¥
8. CYRILLIC CAPITAL LETTER mark Љ - Љ
9. GREEK CAPITAL LETTER OMEGA mark Ω - Ω
10. GREEK CAPITAL LETTER MARK PI Π - Π
Yaha par aap notice karenge ki har ek HTML entity code ampersand sign (&) se shuru hota hai aur semicolon (;) ke sath khatam hota hai. Post editor me HTML entity code add karne ke baad ye just special character me badal jata hai. Jab aap apne post ko publish ya preview karenge to aap dekhenge ki ye automatically HTML entity code ke bajae special character display hota hai.
Yaha HTML entities ke roop me available characters ki poori series hai, jisme special characters, latin characters, mathematical symbols, currencies, scientific measurement symbols etc shamil hain. Complete reference ke liye HTML character entity reference chart.
Method 2:
WordPress me Special Characters Add kare ( Plugin )
Agar aap apne WordPress post ya pages me regular basis par Special Characters Add karne ki zarurat hoti hai to aap bar bar HTML entity reference chart ko dekhne ke bajae ek plugin ka use kar sakte hain.
Plugin ke zariye WordPress me Special Characters Add karne ke liye, aap sabse pahle apne WordPress site par “Insert Special Characters plugin” ko install aur activate kare. Kisi bhi WordPress plugin ko kaise install karte hain iski detail me information lene ke liye aap hamari separate article WordPress Plugin Install Kaise Kare ko read kar sakte hain.
Activation ke baad, sirf uss post ya page ko edit kare jahan aap special characters add karna chahte hain. Paragraph block ke andar block toolbar me “drop-down arrow”par click kare aur “Special characters” option ko select kare.
Ye special characters display karne wala ek popup laega. Bss uss special character ka pta lagaye jise aap add karna chahte hain aur fir use editor me insert karne ke liye click kare.
Old WordPress Editor me Special Characters Add kare :
Agar aap abhi bhi WordPress me old classic editor use kar rahe hai to yaha bataya gaya hai ki aap blog post likhte time asaani se special characters add kaise kar sakte hain.
Sabse pahle aap “kitchen sink” button par click kare. Ye formatting options ke dusri line ko expand karega jahan aapko “Special Characters” button ko dekhna chahiye.
“Special Characters” button par click karne se ek pop-up window aaega, jisme kuch commonly use kiye jane wale special characters dikhai denge. Isme currency symbols, trademark, copyright, registered signs, mathematical symbols etc sign honge.
Yaad rakhe ye method tabhi work karegi, jab aap old editor ko “WYSIWYG mode” me use kar rahe honge. Agar aap ise “text mode” me use kar rahe hain to aapko ya to Visual editor par switch karne ki zarurat hai ya fir HTML entities method ko use karne ki zarurat hai.
Aapko bas us symbol ya character par click karne ki zarurat hai jise aap use karna chahte hain, aur wo apke post me add ho jaega.
Ummid hai aapko ye article (WordPress Posts Me Special Character Add Kaise Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress me IP Address Block Kaise Kare
- 14 Best WordPress SEO Plugins and Tools – Jise Aapko Use Karna Chahiye
- WordPress Sticky Posts Kab aur Kaise Create Kare ?