Jub aapko apne website ko host karne ki baat aati hai to aapke paas bahut sare options hote hai. Is baat ko decide karne ke sath hi ke aapko kis company se hosting buy karna chhaye, aapko ye bhi decide karna parta hai ke aapko kaun se hosting plan ko selct karna hai. Shared web hosting aise logon ke liye ek best option hia jo pahli baar apni website ko bana rahe hai. Niche humne shared hosting ke bare me bataya hai ke Shared Web Hosting Kya Hai aur kis tarah ke logon ke liye shared hosting package beneficial ho sakta hai.
Shared Web Hosting Kya Hai ?
Agar aap ek starter hai to Shared Hosting aapke liye ek best and cheap option hia. Agar aap apne blog ya website ke liye ek ek budget hosting package ki talash me hai to aapke liye shared web hosting ek best option hia.
Shared Hosting ek aisa hosting service hai jo multiple websites ko single server ko utilize karne ke liye allow karta hai. Usually aapko idea nahi hoga ke aap kis website ke sath server pe apne content ko share kar rahe. Aur shared hosting pe har website ka ek hai IP address hota hai. Har customer ke pass aam taur pe server resource ko use karne ki limit hoti hai, aur ise aapka hosting package define karta hai. Yahan pe kisi ka bhi dedicated resource nahi hota hai aur koi bhi kisi bhi resource ko use kar sakta hai.
Shared hosting aapki zaroorat ke liye ek cheapest aur most economical option me se ek hai. Halaki shared hosting ke kuch limitation bhi hai. Zyadatar companies aapko same amount ka space aur storage provide karta hai bus aapko aise company ko select karna hota hai jise aap trust karte hai.
Shared Web Hosting Ke Advantages aur Disadvantage :
Shared web hosting ke kayi advantages aur disadvantages hai jise niche list kiya gaye hai.
Advantages :
- Ye aapke liye abtak ka sabse se cheapest hosting packages hai. Hosting ki is package ka price usually $2.99-$9.99 doller tak hota hai.
- Shared hosting cpanel ke sath aata hai jiski wajah se aapko apne site ko manage karna aasan hota hai.
- Bahut saari companies me multi levels hosting avaialble hote hai, isliye aap apne hosting package ko time ke sath upgrade kar sakte hai. Jiski wajah se shared hosting ko start karne ke liye ek best option mana jata hai
Disadvantages :
- Load time dedicated server se zyada hota hai.
- Agar aapke site pe zyada traffic aane lagti hai to aapke site ka performance bahut bura ho jata hai.
- Yahan pe aapko apne site ke high level performance ke liye bahut kam customization options milenge.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Shared Web Hosting Kya Hai ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?