Shared Hosting ek popular web hosting type me se ek hai. Jub kahi bhi hum web hosting ko select karte hai to hame apne need ko dhyan me rakh ke hi apne liye hosting service ko select karna chahye. Hosting choose karne se pahle hame apne need ko analyse karna chahye ke hame apne site ke liye kis tarah ke hosting ki zaroorat hai. Aaj is post me hum aapko WordPress Shared Hosting Pros and Cons ke bare me batane ja rahe hai jiski help se agar aap shared hosting ko apne site ke liye select karna chahte hai to aapko iske positive aur negative aspect ke bare me pata ho.
3 WordPress Shared Hosting Pros and Cons :
Jaisa ke hame pata hai ke shared hosting ke bahut sare advantages hai, jiski wajah se log zyadatar shared hosting ka use karte hai. To chalye dekhte hai shared hosting ke 3 advantages.
3 WordPress Shared Hosting Pros :
Easy And Fast Setup :
Shared hosting ka sab se bara advantage ye hai ke shared hosting ke liye hame kisi bhi tarah ke technical knowledge ki zaroorat nahi hai. Ise setup karna bhaut aasan hai.
Shared Web hosting affordable rates pe mil jate hai. Kyuki shared hosting hone ki wajah se hosting ahut sare wesite ke sath shared hote hai. YAhi wajah hai ke shared hosting ki price dusri hosting ke comparison me bahut kam hoti hai.
Iske sath hi aapko iske maintanace cost bhi nahi deni hoti hai sabkuch cost price me hi include hota hai. Isliye aapko iske maintenance ki zaroorat hai aur na hi kuch pay karne ki.
Small Website Ke Liye Best Option Hai :
Aapki Web hosting dusre website ke sath share hone ki wajah se uske resources bhi shared hote hai. Ek choti website ko run karne ke liye zyada resources ki zaroorat nahi hoti hai.
3 WordPress Shared Hosting Cons :
Shared hosting kharidne se pahle aapko iske kuch Cons hai use bhi dekh lena chahye.
Badi Website ke liye Sahi Nahi Hai :
Jaisa ke hum jante hai ke Shared web hosting limited resources provide karti hai. To aise website jinhe chahlne ke liye zyada resources ki zaroorat hoti hai to unke liye shared hosting problem kar sakti hai.
Aise me agar ek hi website crash ho jaye to uska impact dusri website pe bhi parta hai. To agar aap ek bari website ko run kar rahe hai to aapko apni website ke liye ek dedicated web hosting hi choose karna chahye.
IP Dynamic Hota Hai :
Bahut se aise webhosting companies hai jo aapko static IP address provide nahi karti hai. To aise condition me aapko jub bhi static ip ki zaroorat hogi to ye aapke liye problem create kar sakte hai. Aapko company se static ip lene ke liye unhe extra pay karna parega.
Security :
Shared hosting ke cons me security ek main factor hai jise consider kiya jata hai. Jaisa ke hume pata hai ke shared hosting me ek hi server pe bahut sare site hote hai, to aise me site ke hack hone ke chances adh jate hai. Is condition me hamare site ki security risk pe hoti hai. Is article ko parhne ke aad aap ye decide kar pa rahe honge ke aapki site ke liye shared web hosting sahi hai ya nahi.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( WordPress Shared Hosting Pros and Cons ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Latest Post :
- WordPress Posts Me Author Info Box Kaise Add Kare
- Filezilla FTP Client Setup Kaise Karen ?
- Images Aur Media Files Ko WordPress Me Rename Kaise Kare.