WordPress me Unable to establish secure connection error ek common WordPress error hai. Ye problem WordPress me usually tab hota hai jub aap WordPress plugin or theme ko official WordPress.org directory se install aur update karne ki koshish karte hai. Is Article me hum aapko batyenge ke aap WordPress me Secure Connection Error Fix Kaise Kare ?
WordPress updates ko manage karne ke liye built-in system ke sath aata hai. Ye system regularly updates ko check karta hai aur aapko plugin ya theme ke update aane pe notification show karta hai. Updates ko show karne aur install karne ke liye ise wordpress.org website se connect hona parta hai.
Kabhi kabhi WordPress hosting server ke misconfiguration ki wajah se aapki website WordPress.org website se connect nahi ho pati hai. Aur ye secure connection error display ho jata hai aur niche diye gaye error message show hone lagte hai.
An unexpected error occurred. Something may be wrong with WordPress.org or this server’s configuration.
If you continue to have problems, please try the support forums. (WordPress could not establish a secure
connection to WordPress.org. Please contact your server administrator.) in
/home/username/public_html/wp-admin/includes/update.php online 122
To aaeye dekhte hai ke Unable to establish secure connection error ko fix kaise kare.
WordPress me Secure Connection Error Fix Kaise Kare ?
WordPress me unexpected secure connection error ko fix karne ke kayi ways hai, aap apne situation ke according kisi bhi ways ko try kar sakte hai.
Hosting and Server Related Issues :
Agar aapka shared hosting server DDoS attack ke under hai to possibility hai ke WordPress.org ka timeout ho gya ho aur yahi secure connection error ka karan ho. Aur aise case me aap thora wait kar ke phir se try kar sakte hai. Agar error bani rahti hai to aapko apne web hosting company ke support team se baat karne ki zaroorat hai.
Cloud or VPS Server Connectivity Issue :
Agar aap cloud ya VPS hosting ka use kar rahe hai to ye possible hai ke aapka server DNS issue ki wajah se wordpress.org se connect nahi ho pa raha ho.
Aise condition me aapko apne server ko directly WordPress.org pe point kar sakte hai. Aapko apane server se connect hone ke liye SSH ki zaroorat hogi.
SSH secure shell ka short hai joki ek encrypted protocol hai jo aapko aapke server pe command line tools ki help se connect hone ke liye allow karta hai.
Windows users PuTTy tool ka use kar sakte hai wahi Mac / Linux users terminal app ka use kar sakte hai.
Aapko apne hosting account me shell access ke sath account ke liye login credential ki zaroorat hogi. Aap is information ko hosting account’s cPanel dashboard se pa sakte hai ya phir aap apne web hosting server provider se pooch sakte hai.
Terminal me aap apne server se is tarah connect ho sakte hai.
ssh username@example.com
User name ko aap apne user name se aur example.com ko aap apne domain name se replace karna na bhoole. Connect hone ke baad aapko niche diye gaye command ko run karna hoga.
sudo nano /etc/hosts
Yah ek file open kar dega jise aapko niche diye gaye code ko apne file ke bottom me add karne ki zaroorat hogi.
66.155.40.202 api.wordpress.org
Ab aap changes ko save kare aur editor se exit ho jaye. Website pe ja kar dekeh ke ye problem resolve hua ya nahi.
Localhost pe WordPress Secure Connection Error Ko Fix Kare :
Agar aap WordPress ko apne khud ke computer pe run kar rahe hai, to aapke pass PHP ke liye cURL extension enabled nahio ho sakta hai. Is extension ka use update ke liye wordpress.org ko access karne ke liye kiya jata hai.
Aapko apne computer pe php.ini file ko edit karne ki zaroorat hogi. Ye file usually aapke PHP folder ke Mamp, Xampp, or WAMP folder me located hota hai. Agar aap windows computer ka use kar rahe hai to aapko niche diye gaye line ko dhundhna hoga.
;extension=php_curl.dll
Mac aur linux user is file ko dekhe
;extension=curl.so
Ab aapko extension ko enable karne ke liye text se pahle diye gaye semi colon ko remove karna hoga. Apne php.ini file ko save karna na bhoole.
Lastly changes ke liye apache server ko restart karna na bhoole.
Check Open Ports in Firewall :
Agar cURL extension aapke local server pe properly installed ho gya hai to agla step ye hai ke aap apne internet connection firewall ko check kare.
Aapke computer ka firewall local server se WordPress.org par outgoing connection ko block kar sakta hai. Agar aap windows ka use kar rahe hai to start button press kare aur windows firewall ko search kare. Mac user firewall setting ko System Preferences me Security & Privacy me dhundh sakate hai.
Aapko firewall ke allowed programs me Apache ko add karna hai aur incoming and outgoing connections dono ko allow karna hai.
Aapko changes ko effect me lane ke liye Apache ko restart karna hoga.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Secure Connection Error Fix Kaise Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?