What is a WordPress Plugin
Plugin software program ka
WordPress pe
WordPress pe ek site administrator ke taur pe aap kisi bhi Plugin ko install aur uninstall kar sakte hai. Market me aapko bahut saare Plugins free me mil jayenge jise aap install kar ke use kar sakte hai. Free Official wordpress Plugins ke sath hi Premium Plugins bhi hai jise aap website pe add kar sakte hai.
Apne site ke liye Plugins select karte waqt kuch baton ka dhyan dena hota hai. Aap ko ye dekhna hoga ke aapka select kiya gya Plugin wordpress ke latest version ke sath compatible hai ke nahi, us Plugin ki rating kya hai, use kitne din pahle update kiya gaya hai.
Plugins ke bare me ek ghalat fahmi logon me hai ke ye site ko slow kar deta hai. Aisa bilkul nahi hai, website pe install kiye gaye bad Plugins hi aapki site ko slow karte hai ya phir bina zaroorat ke plugins. Agar aap ek acha Plugin apne site pe install karenge to wo aapki website ko kabhi bhi slow nahi karega.
WordPress me aap plugin install kar ke naye features add kar sakte hain, Jaise ki agar aapko apne website ke upar kuch sell karna hai to aapko uske liye Woocommerce Plugin install karna hoga jisse aapka website online shopping site ki trah work karne lagega. Isi tarah bahit se dusre Plugins hai jise add kar ke aap alag alag tarah ke functions ko bina kisi bhi coding knowledge ke perform kar sakte hai.