Protect MS word document With Password: Microsoft utility ko aam taur pe istemal kiya jata hai aur bahut baar aisa hota hai ke hame apne microsoft document ko secure karne ki zarurat par jati hai. kabhi kabhi hum apne kuch aise chizen likhte hai jinhe hame dusron se secure karne ki zaroorat ho jati hai.
Office 365 ka Ms-word bahut se aise tools provide karta hai jiski madad se aap apne document ko secure kar sakte hai. To apne file ko encrypt karne ke liye niche diye gaye steps ko follow karen.
Steps to Protect MS word document With Password
- Us document ko open karen jise aap secure karna chahte hai.
- File me jaye aaur info me ‘Protect Document’ ko select karen.
- Ab ‘Encrypt with password’ ke option pe click karen.
- Ab ek ‘Encrypt Document’ window open hoga aur aapko apne document ka password dalna hoga. Password case sensitive hai. Password create karne ke baad Ok pe click karen.
- Password ko confirm karne ke liye phir se enter karen aur OK press karen
- Document ko phir se save karen aur close kar den
- Document ko phir se open karen. Ab aapko document ko access karne ke liye password dalna hoga, uske baad file ko open karne ke liye Ok pe click kare.
Agar aap password ko hatana chahte hai to niche diye gaye steps ko follow karen
- File pe click karen aur uske baad ‘Protect Document’ pe click karen
- ‘Encrypt with password’ pe click karen next window pe un dots ko delete karen jo aapke password ko hide kar rahe honge aur OK pe click karen.
- Document ko phir se Save karen aur phir close kar den. Ab jub dobara aap file ko open karenge to aapko password ki zaroorat nahi hoogi aur aap use directly access kar skate hai.
Note: aapke dwara dala gya Password yad rakhne me aasan aur complex hona chahye. Kyu ke agar aap use bhool jayenge to aapke pass us file ko retrive ya reset karne ka koi option nahi hai, aur is tarah se aap apne khud ke document ko access nahi kar payenge. Isliye yaad rakhe ke jo password aap enter kar rahe hai wo aapko yaad rahe. Aap apne password ko kahin pe likh kar bhi rakh sakte hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.
1 comment
[…] Apne MS word document ko Password Protect kaise karen […]
Comments are closed.