Add Touchscreen Home-Button on iPhone and iPad: Naye generation ke iPhone aur iPad ke sath Apple ne Home Button ki jagah naye gesture-based navigation ko apna liya hai. Iske sath hi aajkal aane wale display design me Home button ke liye koi jagah nahi rah gayi hai. Bahut saare log jo iPhone ke older version ka use kar rahe the aur Home button ke aadi ho gaye hai aur naye gesture based navigation ke sath comfortable nahi hai to ek tareeqa hai jiski madad se aap purane Home button ko apne iOS device pe add kar sakte hai.
Assistive touch ek virtual home button hai jo aapke display pe float karne ke sath sath single-tap, double-tap, long-press or 3D touch ke sath bahut saare kaam ke liye customize kiya gya hai. Assistive button ko tap karne pe bahut saare menue option open ho jata hai jo aapko notification panel, control centre waghirah ke liye quick access provide karta hai.
Also Read: Google Family Link App- Karen Apne Baccho Ki Activity Ko Track
Ye function un users ke liye bhi useful hai jinka home button thik tarah se kaam nahi karta hai.
Agar aap bhi is feature ko apne naye version ke iOS device pe use karna chahte hai to hamare niche diye gaye guide ko follow karen.
How to Add Touchscreen Home-Button on iPhone and iPad
- Apne iPhone pe ‘Settings’ open karen
- Niche scroll karen aur ‘Accessibility’ option ko dhundhe
- ‘Assistive Touch’ pe tap karen
- Assistive Touch page pe toggle ko ON karen
- Toggle on ho jane ke baad aapko apne screen pe ek floating button dekhega.
Assistive Touch button ko customize kaise karen
Assistive Touch menu se ‘Customize Top Level menu’ ko select karen aur jitne shortcuts aap add karna chahte hai unhe select karen aur add karne ke liye ‘+’ icon pe tap karen. Iske sath hi user single/double tap and 3D touch action ko bhi customize kar sakte hai.
Yhan pe Home, Open menu, app switcher, volume up/down jaise bahut sare options hai jise aap select kar sakte hai.
Latest iPhone ya iPad use karne wale user home button ko bottom ke bich me drag kar ke Home Button ki tarah use kar sakte hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.