Kabhi kabhi WordPress me low file upload size limit ki wajah se hum media uploader se file, plugin aur theme upload nahi kar pate hai. Agar aap bhi WordPress me maximum file upload size increase kar na chahte hai to aaj is post me hum aapko batane wale hai How To Increase Maximum File Upload Size In WordPress.
Aapko ek baat bata den ke aisa ho sakta hia ke ye guide kuch shared host ke sath kaam na kare. Aise case me aapko apne hosting provider se support ke liye baat karni hogi.
WordPress Me Maximum File Upload Size Limit Kaise Check Kare ?
WordPress me jub aap image ya media upload karte hai to wordpress automatically maximum file upload size display kar deta hai. Ise check karne ke liye aap Media me Add new page me jakar apne wordpress site ka Maximum File Upload Size limit dekh sakte hai.
Maximum File Upload Size limit increase karne ke liye bahut se method ka use kiya jata hai. Niche file size limit ko increase karne ke differend method diye gaye hai.
Increasing Max Upload Size in .htaccess :
Upload size ko badhane ke liye is method me hame .htaccess file ko edit karna hoga. Hum FTP client ki help se ya phir File manager ki help se apne .htaccess file ko edit kar sakte hai. .htaccess file ko FTP client aur File manager se access karne ke liye niche diye gaye guide ko follow kare.
- WordPress me FTP client ki help se WordPress file directory kaise access kare
- WordPress me File Manager ki help se wordpress file directory kaise access kare
WordPress ke File directory me aapko website root directory /public-html folder me .htaccess file mil jayega, ye file wahi pe rahta hai jahan pe wp-content aur wp-includes file hota hai. File ko select kare aur edit option me ja kar file ko edit kar sakte hai.
Aapko niche diye gaye code ko file ke bottom me add kar dena hai. Code aad karne ke baad use save karn eke liye save changes ke option pe click karna na bhoole.
php_value upload_max_filesize 64M
php_value post_max_size 64M
php_value max_execution_time 300
php_value max_input_time 300
Method 2 – Configuring php.ini File :
Is method me bhi aapko apne site ke root folder ko access karna hoga. Root folder ko access karne ke liye aapko FTP client ya file manager method ka use karna hoga.
Most cases agar aap shared host ka use kar rahe hai to aapko directory me php.ini file nahi dikhega. Agar aapko ye file nahi dikh raha hai to upar me +upload ke option pe click kar ke php.ini naam ke ek folder ko create kare aur use root folder me upload kare. Aur us folder me edit ke option me ja kar niche diye gaye code ko add kar den.
upload_max_filesize = 64M
post_max_size = 64M
max_execution_time = 300
Agar aapke liye 64 worrk na kare to aap 10 MB ka use kar sakte hai. Ek baar code ko paste karne ke baad aapp save changes pe clcik karna na bhoole. Aur apne WordPress admin area me Media me Add New ke option pe ja kar changes ko confirm kare.
Method 3 – Modifying wp-config.php File :
Agar upar diye gaye method work nahi karte hai to aap wordpress file limit ko increase karne ke liye apne site ke root directory me wp-config.php file me niche diye gaye code ko add kar sakte hai.
define(‘WP_MEMORY_LIMIT’, ‘128M’);
WordPress file ko file manager ya FTP client ki help se access kare aur
wp-config.php file ko locate kare.
File ke edit option me ja kar upar diye gaye code ko file ke bottom me That’s all, stop editing! Happy blogging paste kar de.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Maximum File Upload Size ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?