WordPress ka use bahut aasan hai par kabhi kabhi kuch aise errors aa jate hai jo hame pareshan kar deta hai. Aaj hum is post me aapko Login Page Refreshing Redirecting Issue WordPress me Fix Kaise Kare isike bare me batane wale hai.
Site ko access karte waqt Login Page Refreshing and Redirecting Issue permalink structure, .htaccess file or improperly configured Site URL ki wajah se ho sakta hai. Iske alawa aapke theme aur plugin ki wajah se aaye configuration issue bhi iski wqajah ho sakta hai.
Niche kuch steps diye gaye hai jiski help se aap Login Page Refreshing and Redirecting Issue ko resolve kar sakte hai.
Login Page Refreshing Redirecting Issue WordPress me Fix Kaise Kare ?
Login Page Refreshing and Redirecting Issue ko resolve karn eke liye niche kuch ways diye gaye hai jiski help se aap apne Login Page Refreshing and Redirecting Issue ko resolve kar sakte hai. Aap niche diye gaye sabhi methods ko try kare aapke inme se koi bhi aapke Login Page Refreshing and Redirecting Issue ki wajah ho sakta hai.
Browser Cache aur Cookies Ko Clear Kare :
WordPress Login authentication ke liye cookies ka use karta hai. Apne browser ke cache aur cookies ko clear kare, iske sath hi is baat ka bhi dhyan rakhe ki aapke browser me cookies enabled ho. Is feature ko Disable karne se aapko login me problem ho sakti hai. Apne browser ko restart kare aur login kare.
Deactivate All Plugins :
Is method me hame ye dekhna hai ke Login Page Refreshing aur Redirecting Issue kisi plugin ki wajah se to nahi hai. Kabhi kabhi plugins ki wajah se ye issue create ho jata hai, khas kar tab jub do plugin ke beech me conflict ho. Apne Plugins ko FTP client ya cPanel File manager ki help se deactivate kar sakte hai.
Plugins ko deactivate karne ke liye aapko /wp-content/plugins/ directory ko plugins_new ya is jaise kisi name se rename kar dena hai. Aisa karne se aapke sabhi Plugins deactivate ho jayenge. Agar aapki problem is method se resolve ho jati hai to aap plugins ko ek ek kar ke activate kare. Jis Plugin ke sath problem hogi aapko pata chal jayega.
Revert Default Theme :
Agar upar diya gaya method kaam nahi karta hai to aapke site ke theme me koi issue ho sakta hai. Kabhi kabhi theme upgrade hone ke baad kuch problems create ho jata hai. Ye paata karne ke liye ke problem aapke theme ki wajah se hai to aapko apne theme ko deactivate karna hoga. Theme ko plugins ki tarah hi deactivate karna hoga. /wp-content/themes/ directory me jaye aur apne current theme directory ko kisi bhi naam me rename kar den.
WordPess aapke current theme ko default theme me convert kar dega. Aisa karne ke baad login kare agar aap login ho jate hai to iska matlab hai ke aapke theme ki wajah se ye problem create ho rahi thi.
Agar aap default theme ka use kar rahe hai phir bhi theme ko rename kare aur login hone ki koshish kare. Agar aap successfuly login ho jate hai to iska matlab hai ke aapka default theme corrupt ho gya hai. Ek fresh default theme download kare aur apne website pe install kare.
Delete .htaccess File :
Kabhi kabhi .htaccess file ke corrupt ho jane ki wajah internal server errors ya login page refreshing error aata hai. Aap FTP client method ya File Manager ki help se .htaccess file ko root directory se delete kar sakte hai. .htaccess file ko delete karne se pahle file ka backup le len, aur phir ise delete kare aapko is file ko apne wp-admin directory se bhi delete karna hoga agar wahan pe ye file ho to.
File ko delete karne ke baad login karne ki koshish kare, agar aap login ho jate hai to iska matlab hai ke aapka .htaccess file aapko login hone rok raha tha. Login hone ke baad aap settings me Permalink pe jaye aur save par click karen, aisa karne se naya .htaccess file generate ho jayega.
Update Site URL :
Kuch cases me site URL ki wajah se ye issue aata hai. URL ko fix karne ke liye aapko apne site me FTP method ya cPanel File manager se login karna hoga aur wp-config.php file ko edit karna hoga. Niche diye gaye code ko apne wp-config.php file ko edit kar ke That’s all, stop editing! Happy blogging ke baad niche diye gaye code ko add kare aur example.com ko apne site domain name se replace kar den.
define(‘WP_HOME’,’http://example.com’);
define(‘WP_SITEURL’,’http://example.com’);
Changes ko save kare. Aisa karne se aapka login page refreshing issue resolve ho jayega.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Login Page Refreshing Redirecting Issue WordPress ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?