WordPress ek easy blogging software hai. Iske aasan hone ki wajah se hi internet pe lagbhag 31% website WordPress pe hi bane huye hai. Agar aap hamesha kuch naya try karte rahte hai to aapke liye ye ek accha idea hai ke aap apne system pe wordpress ko locally install kare. Aap wordpress ko locally install kar ke naye features ko try kar sakte hai. Aaj is post me hum aapko batane wale hai ke aap local host pe WordPress ko install kaise kare. To aaeye dekhte hai Localhost Pe WordPress Kaise Install Kare ?
Aap hamare Godaddy Hosting Account pe WordPress kaise Install kare post ko bhi WordPress ko Godaddy hosting account pe install karne ke liye parh sakte hai.
Localhost Pe WordPress Kaise Install Kare ?
WordPress ko localhost pe instal karna bahut easy hai. Aap computer pe directly WordPress ko install nahi kar sakte hai, Iske liye aapko environment create karna hoga aur phir aur phir uspe WordPress ko install karna hoga. Install karne ke liye aapko bus kuch easy steps ko follow karna hoga.
Local WordPress installation ko start karne ke liye aapko ek software download karna hoga jsika naam hai WAMP. Iske sath hi aapko wordpress ka latest release bhi download karna hoga. To aaeye dekhte hai in steps ko detail me.
Step 1. Installing WAMP On Windows Computer :
Sabse pahle aapko WAMP software ko apne computer pe download aur install karena hoga. Simply aap WampServer website pe ja kar ‘Start Using WampServer’ button pe clcik kare.
‘Start Using WampServer’ button pe clcik karne se aapke samne WAMPSERVER 64 BITS AUR WAMP SERVER 32 BITS ke option aayenge aap apne computer operating system ke base pe WAMP server select kar len.
Download ho jane ke baad aapko wampserver execution file pe click kar ke use run karna hoga.
Install ho jane ke bad wamp server ko launch kare.
Step 2. Setting Up A Database For Local WordPress Setup :
Ab aapko ek blank MySQL database create karna hoga. Launch hone pe aapko bottom right corner pe ek icon ke sath ek green WampServer icon dikhega. Simply us icon pe clcik kare aur phir phpMyAdmin pe click kare.
Note: Agar WampServer icon red or yellow ho to iska matlab hai ke service (Apache, MySQL, PHP) run nahi kar raha hai. Database setup karne se pahle aapko service ko icon pe click kar ke start karna hoga.
Aapke web browser pe ye aapko phpMyAdmin login screen pe le jayega. Aap yahan pe user name root dale aur password field ko blank rahne de. Go button pe clcik kar ke continue kare.
Login karne ke baad aapko phpmMyAdmin pe click kar ke WordPress ke liye new database create karna hoga. Yahan pe aapko apne new database ke liye name choose karna hoga. Uske baad ‘Create’ button pe clcik karna hoga.
Ab aapka database ready hai ab aap wordpress ko localhost pe install kar sakte hai.
Step 3. Installing WordPress On Windows Using WAMP :
Ab aapko WordPress.org website se wordpress ka latest version download karna hoga. Ab aapko wordpress.zip file ko extract karna hoga. C:\wamp\www me aapko folder create karna hoga jiska naam
WordPress hoga. C:\wamp\www me sabhi files aur folder ko aapko wordpress folder me copy karna hoga.
Ab aapko us folder me jana hoga jahan pe aapne WAMP folder ko install kiya hoga. Wprdpress folder ko C:\wamp64\www folder me paste kare.
Ab aap web browser open kar ke http://localhost/mysite/ me ja skate hai. Pahle ye aapse language setup karne ke liye kahega aur aapko database setup information show karega. information ko carefuly parhe aur ‘Let’s go’ button pe click kare.
Ab niche diye gaye detail ko mension kare.
- Database name : Database name you have created (WordPress)
- Username : root
- Password : Leave it blank
- database host : Keep it default (Localhost)
- Database prefix : Keep it default (wp_)
Submit button pe clcik kare. Next screen pe Run setup pe click kare.
Next screen pe Blog title aur Email add kare. Search visibility yahan pe matter nahi karega kyu ki hum local environment pe kaam kar rahe hai.
Next screen pe aapko success message milega ke wordpress install ho gaya. Login pe click kar ke aap aage continue kar sakte hai.
Aapne WAMP ki help se local wordpress test environment create kar liya hai. Aap XAMPP ki help se bhi wordpress ko locally install kar sakte hai. Learning aur testing purpose ke liye local server environment bahut accha hota hai. Lekin agar aap wordpress blog dusre logon ke dekhne ke liye start kar rahe hai to aapko wordpress ko apne computer pe start nahi karna chahye.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Localhost Pe WordPress Kaise Install Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?