Apni website ko kisi khas keyword ke liye optimize karne me keyword research aapka pahla step hai. Keyword research karte waqt bahut si aise baate hai jinka aapko dhyan rakhna parta hai. Aaj is article me hum aapko keyword reserach ke bare me batane wale hai ke keyword reserch kya hota hai, iski zaroorat kyu hoti hai, aur keyword research kaise karna chahye.
Keyword Research kaya hota hai?
Jub
Keyword research inhi term ko search karne ke liye kiya jata hai taki un popular terms ko search kiya ja sake jo log search engine pe apne content ko dhundhne ke liye use karte hai. Keyword research SEO ka ek important term hai aur iski help se hum apne site ke rank ko badha sakte hai.
Agar hum apne blog ko search engine pe high rank gain karna chahte hai to hame keyword research karna chahye. Iski help se aapko pata chal jayega ke aap kis keyword ka use apne blog me kare ke zyada se zyada traffic aapke site pe aaye aur aapki site search engine pe rank ho jaye.
To aise keywords ka pata lagana jispe zyada traffic aaye use hi keyword research kahte hai. Keyword research me hum aise keywords ka pata lagate hai jispe traffic zyada ho aur jiski competetion kam ho. Aise keyword jiske competetion bahut zyada hoti hai usko rank kar pana mushkil hota hai. Yahi wajah hai ke hame research karte waqt aise keywords ka pata lagana parta hai jispe traffic bhi achi ho aur competetion bhi kam ho taki us keyword ko search engine pe easily rank kiya ja sake.
Keyword research kaise kare
Keyword research karne ke liye bahut saare free aur paid tool available hai jinki help se aap research kar sakte hai. Kuch top tools ke naam niche diye gaye hai jinki helps se aap keyword research kar sakte hai.
- In keyword tool ki help
se aap relevant keyworddhoondh sakte hai. - YE tool
aap ke dhundhe gaye keywordse related suggestionbhi providekarta hai. - Kisi
bhi keywordke liye kitne searchhote hai ye findkar sakte hai. - Keyword
ke competition ko analyzekar sakte hai. - Kaun se site us keyword ke liye kis position pe rank kar rahi hai ye bhi jaan sakte hai.
Keyword research ke benefits
- Agar
aap apne blog ko keyword researchkar ke likhte hai toaapke blog ki traffic increase hojayegi . - Agar aapne low competition wale keyword ko target kiya hoga to jald hi aapka page google pe rank ho jayega.
- Keyword research
se aapko apne nicheke competetion ka idea lagjayega . - Keyword research
se aapko apne blog pe blog postlikhne ke ideasbhi miljayenge - Aapke keyword
ke rank honese aapke site ki domain Authoritybhi increasehogi .
Umeed hai ke is Article ko parh kar aapko Keyword research ka concept clear ho gya hoga aur aapko keyword research ka importance bhi pata chal gya hoga.