WordPress install karne ke baad kuch chizen hai jise aapko setup karne ki zaroorat hai. Is post me hum aapko WordPress install karne ke baad ke kuch important WordPress setup ke bare me batayenge. Aap WordPress hosting buy karne, domain register karne aur WordPress install karne ke guide ko niche diye gaye link pe ja kar parh sakte hai.
- Apne Blog ke liye Godaddy se hosting kaise kharide
- Domain Name Register kaise kare
- Godaddy Hosting Account pe WordPress kaise Install kare
WordPress blog install kar lene ke baad apne WordPress blog ko setup karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.
Important WordPress Setup :-
Default Post, Page, and Comment ko Delete Kare :
Jub aap WordPress install karte hai to aapke site pe dummy post, dummy page, aur dummy comments install ho jate hai. Is liye sab se pahle hame in dummy post aur comments ko delete karna chahye.
Apne WordPress dashboard me login kare aur Posts ke option me All Posts pe jaye aur default “Hello world” post ko delete kare.
Isi tarah Pages ke option me All Pages pe jaye aur default “Sample Page” ko delete kare. Aur phir comments me jaye aur default “Comments” ko delete kare.
Timezone Set Kare :
General me setting ke option pe ja kar timezone ko apne local time me set kar len. Timezone ko Apne local time me set karne pe aapko apne blog ko schedule karne me aasani hogi.
Ap yahan se dusre informations ko bhi change kar sakte hai.
Enable/Disable User Registration :
Agar aap apne site multi author blog banana chahte hai to aapko user registration ko enable karna hpga. Lekin agar aap single author blog start karna chahte to aap user registration ke option ko disable kar sakte hai.
Agar aap user registration ko enable karte hai to aapko spam registration ke liye tayyar hona parega, waise aap plugin ke use se spam registration ko fix kar sakte hai.
Multi-author ke liye settings me general me membership ke option pe
“Anyone can register” pe tick kar de. Agar aap nahi chahte ke koi register kare to aap “Anyone can register” pe tick mat kare.
Setup WordPress Comments Settings :
Settings me Discussion me jaye aur upar diye gaye screenshot ko follow kare.
WordPress Media Settings :
By default WordPress kisi bhi uploaded image ka multiple size generate karta hai. Agar aap chahte hai ke aapke dale huye image ke size ko WordPress change na kare to aap apne media settings ko niche diye gaye screenshot ke according change kare.
Add Google Analytics :
Google analytics google ka ek free program hai jo aapko aapke WordPress site ke traffic ke bare me sabkuch batayega. Ye un important things me se ek hai jise sabhi ko WordPress Install karne ke baad install karna chahye. Apne Blog me Google Analytics add karne ek liye niche diye gaye link ko follow kare.
Add Caching Plugin :
Caching Plugin aapke WordPress site ke loading time ko kam karne me help karta hai. Catching Plugin ke bina koi bhi jub kabhi bhi koi visitor aapke page pe visit karta hai to server ko request ko poora karne ke liye database se query karna hota hai. Niche kuch best catching plugin ke naam diya gya hai.
Set Up WordPress Permalinks :
By default WordPress permalink is formate me hota hai http://yourdomain.com/p=123. Ye permalink search engine friendly nahi hote hai.
Dashboard pe settings me jaye aur Permalink me “Post Name” select kare aur Save pe click kare. Aisa karne se jub aapka post search engine me appear hoga to kuch keyword visible honge jo aapko high rank aur zyada traffic gain karne me help karega. SEO friendly permalink setup karne ke liye niche diye gaye guide ki help le sakte hai.
Configure Google Tag Manager :
Jaise jaise aapka site grow karega to aap apne site pe bahut saare scripts jaise Google analytics, facebook pixels, aur bahut kuch install karenge. In sabhi ko single dashboard se manage karne me Google tag Manager aapki help karega.
Ye site management ke process ko easier banata hai aur aapko theme me script ko add karne ke liye edit karne ki zaroorat nahi hogi. Aap sabkuch GTM dashboard se manage kar sakte hai. Ye kuch important WordPress setup guide the jise aapko Worpress install karne ke baad change karne ki zaroorat hoti hia.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Important WordPress Setup ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?