Image and Media files Rename Or URl Change karne se pahle ham janenge ki file ko rename karna zaruri kyun hai? Image File ka name Image SEO ke liye bhut zruri hota hai. Iske zariye bhut sare user ko apke website ko dhundne me madad milta hai, apke website ka SEO score improve hota hai, Website loading speed me sudhar aata hai, Aur apke articles zayada search engine friendly ho jata hai.
Agar aap WordPress Pe Images aur Media Files ko upload karne ke baad uska name or URL change karna chahte hai. To WordPress apko image Alt tag aur caption change karne ke liye permission deta hai, lekin Image name aur URL badlne ke liye admin area me koi option nahi diye hote hai.
WordPress Me Images And Media Files Rename Zaruri Kyun ?
Kiya aap jante ki search engine jab bhi apke kisi post ko visit karta hai to wo sabse pahle apke post content ko nahi balki apke Images, Media Files, Tags aur Backlines ko focus karta hai. Images aur media file kisi bhi blog ya website ke liye bhut zaruri hai. Agar aap original images aur other media files apne website pe upload karte hai to images apke website pe zayada traffic lane me madad karta hai.
Ab sawal ye hai uploaded images aur media files SEO friendly hai ya nahi, SEO friendly ka matlab ye hota hai ki jab koi user hamare image ya media files ko search kare to wo google ke search engine me aaye. Google kabhi bhi blank images aur media file ko nahi samjh pata hai, ki wo images aur media files kis bare me hai.
Isliye aap jab bhi koi images, media files apne post me upload kare to usse related Images and Media Files Rename Or URl Change zarur kar lijiye. Kyunki bhut sare images aur Media files ka name number me bhi hota hai, Jiske wajah se uska URL bhi waisa hi ho jata hai. Jaise ki DOO123.jpg ke compare me zayada helpful the-pinkcity.jpg file name hai. Ye sari chizen janne ke baad ab ham janege ki Image and Media files Rename Or URl Change Kaise Karen?
WordPress Me Image and Media files Rename Or URl Change Kaise Karen ?
Iss method ke zariye WordPress image file ke name ko automatically rename nahi karta hai. Balki iske zarie aap khud se bhut hi assani se apne WordPress Image file name ko admin area se change kar sakte hai. To sabse pahle hame Phoenix Media Rename Plugin ko install aur Activate karna hai. For more detail WordPress Plugin Install kaise kare.
Activation ke baad simply aap dashboard ke left sidebar me Media >> Library me jaye. Uske baad list view ko switch kare.
Uske baad yaha pe aap media files ke sath sath aur bhi details ko view kar sakte hai. Next yaha pe aap images or media file jise bhi aap rename karna chahte hai uske niche EDIT link hai uspe click kare.
Ab yaha pe apka image WordPress media edit screen me khul jaega, yaha se aap iamge details (Alt tag, caption etc) ko bhut hi asaani se Edit kar sakte hai, Next Image file name change karne ke liye aap scroll down karenge to aapko filename section dikh jaega.
Iske zariye image file name change karne ke sath sath uska URL link bhi change ho jata hai. Mai recommend karungi ki jab bhi image file name change kare to short keyword focused ya image se related koi meaningful name rakhiye jiss name se actual me image describe ho jae.
Iske baad waha pe aap dekh sakte hai ki right side me ek “Update” button hai us pe click kar ke apke kiye gaye changes ko save kare. Update karne ke baad aap yaha pe bhi dekh sakte hai ki mera Images File Rename Or URl changed ho gaya hai.
Bass itna hi, Ab successfully WordPress admin area chhore bina hi apka Image and Media files Rename Or URl change ho chuka hai.
WordPress me Image and Media Files ko Replace Karen :
Agar upar diye gaye method aap se work nahi kar rha hai, to aap iss method ko try kar sakte hai. Basically aap jis file ko rename karna chahte hai uss file ko apne computer me download kare firr apne computer se usko rename karenge. Uske baad aap apne website pe ek plugin ka use kar ke Renamed file ke sath orignal file ko Replace kar denge
To sabse pahle hame Enable Media Replace Plugin ko install aur Activate karna hai. Uske baad Media >> Library page ko visit kare. Uske baad list view ko switch kare.
Ab aap apne Media library me har ek files ke niche dekh sakte hai ki, uss file ko replace karne ke liye uske niche ek new ”Replace media” link generate ho chuka hai. Ab aap jis media ko replace karna chahte hai uske niche diye gaye ”Replace media” button pe click kare.
Uspe click karne ke baad replace media Upload page khul jaega. Ab aap yaha se koi bhi file bhut hi asaani se replace kar sakte hai. Sabse pahle aap make sure kar le ki aap jis file ko upload karna chahte hai uske file name ko aap apne computer me hi pahle se change kar chuke hai ya nahi.
To sabse pahle aapko apne computer me uss file ko choose karna hoga jise aap Upload aur old file se Replace karna chahte hai.
Uske baad thora scroll down karne pe apko aur bhi options milenge. Replacement options ke zariye aapko do option milte hai, jisme aap choose kar sakte hai ki aap file ko badalna chahte hai ya sabhi link ko badalna chahte hai. Agar aapne pahle hi uss file ko apne WordPress post aur page par add kar liya hai to mai apko dusre option ko use karne ka advice dungi.
Yaha pe right side se aap keep the old date or use a new date bhi choose kar sakte hai. Finally old file ko new and Renamed file ke sath badalne ke liye ”Upload” button pe click kare.
Note :- WordPress pe koi bhi images aur media files upload karne ke baad kabhi bhi usko Rename aur uska URL change nahi kare, Kyunki Upload karne ke baad usko Rename aur uska URL change karne se wo image broken ho jata hai.
To Doston bas itna hi, Ummid hai aapko ye article ( Image and Media files Rename Or URl Change ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.