WhatsApp Payment feature: WhatsApp india ka ek bahut popular messaging Platform hai, aur aap bhi un millions logon me honge jo daily basis pe whatsapp ko ghanto access karte hai. shayad aapne whatsapp ke UPI payment feature ke baare me suna hoga. WhatsApp NE apne user ke convenience kOo dekhte huye WhatsApp UPI payment feature ko pesh kiya hai. Agar aap bhi whatsApp ke is fantastic feature ko use karna chahte hai to hamare niche diye gaye Guideline ko Follow karen.
How to get WhatsApp Payment feature
- Aapke contact me jis friend ke pass Payment feature enable hai unse kahen ke wo aapko request bhejne
- Aapko ek Notification milega jisme aapko Apna UPI set karne ke liye kaha jayega
- Invitation milne ke baad UPI ki madad se apna account set kare
WhatsApp Payment feature ko setup kaise karen
- WhatsApp ko open kare aur ‘Setting’ ke option pe jayen, wahan pe ‘payment’ ke option ko select karen
- ‘Add New Account’ ke option pe tap karen
- Verify via SMS pe click kar ke apne number ko verify karen
- Next screen pe Accept and continue pe click karen
- Ab aap us bank ko select karen jis se aap link karna chate hai
- Apna bank account number dalen aur Screen pe Appear huye prompt ke instruction ko follow karen
- Ab aapko UPI pin select karne ke liye kaha jayega
- Apna UPI pin confirm karen aur Done button pe click karen
- Ab aapka WhatsApp Payment option use karne ke liye ready hai
WhatsApp Peayment se paise kaise bheje
- App jise paise bhejna chahte hai us contact ka chat open karen
- Android pe attach button ko tap karen aur agar iPhone hai to + button pe tap karen
- Paisa bhejne ke liye Payment ke option pe click kare aur amount dale jitna aap bhejna chahte hai, agar aap chahte hai to message me note add kar sakte hai
- Payment ko authorize karne ke liye apna Bank account ka UPI pin enter karen
- Paisa send ho jane ke baad amount conversation ke taur pe aapke message me rahega
अगर आपको यह आर्टिकल पसंद आया, तो कृपया वर्डप्रेस वीडियो ट्यूटोरियल्स के लिए हमारे YouTube Channel को Subscribe करें। आप हमें Twitter और Facebook पर भी फॉलो कर सकते हैं।