How To Use SD Card As Internal Storage: Agar aapke Android device me Apps ko store karne ke liye zyada storage nahi hai to aap apne Android phone me SD card ko internal storage ki tarah use kar sakte hai. Adaptable storage naam ka ek feature Android OS ke external storage media ko parmanent internal storage ki tarah use karne ke liye allow karta hai. To aeeye dekhte hai ke aap external SD card ko internal storage ki tarah kaise use kar sakte hai.
Also Read: Aise Payen Apne Old Phone Me Android 9 Pie Feature
Android Me SD card Ko internal storage Ki Tarah kaise Use Karen
Agar aap lucky huye to aapka phone aapko bina PC se connect huye ise karne ke liye allow kar dega. Agar aap Android (7.0 Nougat or 8.0 Oreo) ya iske aage ka version use kar rahe hai to ye trick kamm kar sakta hai lekin zaroori nahi hai kyu ki kuch manufacturer is feature ko disable bhi kar dete hai. Aapko bata den ke is process me aapka SD card erase ho jayega isliye aisa karne se pahle aapne SD card ka backup zaroor le len. To dekhte hai ke ye kaise karen
- Apne SDcard ko Android me dalen aur card ke detect hone ka intezar karen
- Ab Settings open karen
- Niche scroll karen aur Storage section me jayen
- Apne SD card ke naam pe tap karen
- Screen ke top right corner me three dot pe clik karen
- Storage Settings ko tap karen
- Format as internal ko choose karen
- Prompt me Erase & Format option pe click karen
- Ab Android aapko Data migrate karne ka option dega.
Ab aapka External SD card Internal storage ki tarah kaam karne legega