Google Lens content ko pahchane ke liye google ka ek App hai jo image ke baare me user ko additional information provide karta hai. Jisme aapko language translation, product information, Restaurant menu, monument, places aur bahut saare chizon ke bare me background information mil jayega.
Launch ke waqt ye App sirf Google pixel device tak hi limited tha lekin bad me google ne Android aur iOS device ke liye bhi ise roll kar diya. Google photos ke sath is App ko add kar ke user ke liye ise istemal karna aasan bana diya gya hai. Halaki Android smartphone ke liye Google lens naam ka ek alag App hai, Lekin iPhone iPad ke liye aisa nahi hai. Recent update me Google ne Google lens ko Google search bar me direct add kar diya hai.
Also Read: GOOGLE FAMILY LINK APP- KAREN APNE BACCHO KI ACTIVITY KO TRACK
iOS device pe official Google Lens app nahi hai, aur iske liye aapko kisi bhi third-party App ko download karne ki zaroorat nahi hai. Bus Aapke iPhone aur iPad pe Google Photo App ya Google App download hona chahye.
iPhone aur iPad pe Google Lens App kaise use kare
Download Google App or Google Photo App
- Apple App store ko Open kare
- Google Photos aur Google App ko search kare
- Apne Device pe dono App ko Download kare
Google Photos me Google Lens use kaise kare
- Google Photos App ko Open kare
- Apne Gmail Account se Login ho
- Ab camera open kare aur Picture len
- Google Photo pe wapis aaye
- Clik ki hui Photo ko open kare
- ‘Google Lens’ icon pe tap kare (left me third icon)
- Photo ko scan aur photo se related information ko process hone ka wait kare
Google App ki help se
- Google App ko open kare
- Object pe apne camera ko point kare aur uspe tap kare
- Ab aapko automatically us image se related sabhi information mil jayenge.
Android Pe Google Lens kaise use kare
- Google Photos ke latest version ko Download kare
- Google Photos open kare
- App me aapko Google Lens button ka option mil jayega
- Google lens ka use karne ke liye aapko kisi bhi chiz ki pic leni hogi aur use Google photos me open karna hoga
- Ab Google lens ke icon pe tap kare google image ka information aapko de dega.
Lens aapko Photo ke bare me different information provide karega. Iske sath hi agar aap lens ko kisi musician poster pe point karenge to lens aapke liye music play kar dega. New smart text selection feature ki help se business card se contact information ko save kar sakta hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.