YouTube Dark Mode: YouTube ne apne user ke liye desktop website pe Dark Mode ki feature ko 2017 me hi launch kar diya tha. Lekin apne Android aur iOS user ke liye ye faeture YouTube ne isi saal apne service App me diya hai. Bahut saare log App ko Dark mode me use karna chahte hai, dark mode ko log bahut saare reasons ki wajah se support karte hai jaise Dark background pe white text ek pop up screen ki tarah dikhta hai. Dark mode phone ke display se light ke amount ko bhi kam karta hai.
Agar Aap Youtube dark mode ko apne mobile App me On aur off karna chahte hai to yahan pe baataya gya hai ke aap YouTube dark mode ko on aur off kaise karen. Aur ye bahut simple hai.
How to Enable YouTube Dark Mode
Step 1. YouTube dark mode ko use karne keliye aapke pass YouTube ka latest version hona chahye.
Step 2. App ko open karne ke baad apne Google Account icon pe top right corner me tap karen.
Step 3. Niche Scroll karen aur Setting cog wheel icon pe tap karen
Step 4. Setting menu me “General” section pe tap karen
Step 5. General section me aapko Dark mode ka option slider ke sath dikhayi dega
Step 6. Slider pe Tap kar ke App Dark Mode ko On aur Off kar skate hai.
Also Read: Apne MS word document ko Password Protect kaise karen
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.
1 comment
[…] Youtube Dark Mode On And Off Kaise Karen […]
Comments are closed.