Blogger pe free blog kaise start kare: Agar aap bhi blogging start karne ka soch rahe hai to naye logon ke liye Google ka free Blogger blog-publishing website ek best option hai. Is Blog post me hum aapko batane wale hai “How to sign up for Blogger”. To aaeye dekhte hai ke hum blogger pe blogging ke liye sign up kaise kare.
How to Sign in to Blogger
Blogger pe blog create karne ke liye aapko apne computer browser me Blogger.com pe jaye aur apne Google Account se Sign In kare.
Blogger account create karne ek liye aapke pass Gmail account hona chahye. Agar aapke pass Google account nahi hai to aap “Create your account” pe click kar ke blogger ke liye naya Gmail account setup kar sakte hai.
“Create a new blog” screen pe apne blog ka Title aur Address enter kare
- Title: Title ke coloum me aapko me aapko apne blog ka tittle dalna hoga jaise Billi4you. Aapko apne blog ka tittle apne ke topic ke hisab se rakhna hoga. Aap apne blog kis chiz ke bare me bana rahe hai usi ke according apne blog ka topic banaye.
- Address: Address aapke blog ka URL hota hai. Jub aapka blog browser pe open hoga to wohi URL show hoga. Aap apne blog ko ek professional look dene ke liye custome domain ko register kar sakte hai. jiske liye aapko salana kuch paise kharch karne parenge.
- Template: Aap apne blog ke liye template me koi sa bhi template use kar sakte hai. Tempaltes ko aap baad me kabhi bhi change kar sakte hai.
Agar aapka enter kiya hua Address available na ho to usme thora bahut changes kare aapko aapka address mil jayega.
Apne Blog post ke starter template select kare, jo aapke blog ka basic layout hoga.
Apne Blog ka Title, Address, aur Template select karne ke baad aap “Create Blog” pe Tap kar ke apna Blog create kar sakte hai.
Blogspot Blog basic settings
Ab aapka Blog create ho gya hai. Ab aapko apne blog pe kuch settings hai jise set karne ki zaroorat hai.
- Menu me Theme pe click kar ke aap apne blog ke look ko customize kar sakte hai. Blog Crete karne ke baad sabse pahle hame apne blog ke basic theme ko change kar ke koi good looking theme ko upload karna hoga taki aapka blog professional dikhe. Blogspot blog me theme ko upload karna bahut aasan hai.
Aap Theme ke option me Backup/Restore pe ja kar kisi bhi ache theme ko apne blog ke liye select aur download kar sakte hai.
2. Setting ke option pe click kar ke aap language aur dusri settings ko adjust kar sakte hai.
- Posts, comments and sharing menu me aap publishing, comments, aur apne blog ke sharing ko adjust kar sakte hai.
- Setting me Basic section ke “Permissions” section me +Add authors pe click kar ke aap dusre contributors ko blog me add kar sakte hai.
3. Apne pahle blog ko create karne se pahle aapko apne blog pe kuch pages ko add kar lena chahye jaise About page, Contact page. Pages ko add karne ke liye aap dashboard me Pages ke option pe jakar apne zaroori pages ko create kar sakte hai.
4. Ab aapko apne blog me Fevicone Add karne ki zaroorat hogi Fevicone aisa icone hota hai jub aapka blog browser me open hota hai to jo icone browser tab me dikhat ahai use Fevicone kahte hai. Favicon ko add karne ke liye aapko dashboard me Layout ke option me jakar upar me aa rahe Fevicone ke option pe click kar ke us image ko select karna hoga jo aap apne browser tab me display karna chhate hai.
5. Ab aap apne blog pe Post likhna start kar sakte hai. Post likhne ke liye aapko Dashboard me aa rahe Post ke option pe jakar Add New Post ko select karna hoga.
New Post screen open hone ke baad aapko apne Blog post me title, content add karna hoga.
- Post Screen pe sab se upar aapko apne post ka tittle add karna hoga.
- Title add
karne ke baad aapko apne Blogke content ko nichediye gaye blank space melikhna hoga . - Jub aap apne blog ko likh len to aap right side me aa rahe label ke option pe jakar apne blog ko categorize karne ke liye label set kar sakte hai, taki aapke visitor ko aapke content ko dhundhne me aasani ho.
- Schedule ke option pe ja kar aap apne post ke liye us time ko select kar sakte hai jis time me aap apne post ko publish karna chahte hai.
- Permalink ki help se aap apne blog ke link ko set kar sakte hai.
- Location ki help se aap apne post me location bhi daal sakte hai.
- Aur Options me aapko apne blog ke kuch settings mil jaynge jise aap set kar sakte hai.
Ab agar aap apne post ko dekhna chhate hai ke aapka post kis tarah se publish hone ke baad display hoga to aap use Preview ke option pe jakar dekh sakte hai. Apne post ko turant publish karne ke liye aap publish button pe click kare aur save karne ke liye Save button pe.
6. Ab jub aapke blog pe acchi khasi traffic aane lage to aap apne blog ke liye Google AdSense ke liye apply kar skate hai. Google AdSense pe agar aap zero tarffic hone pe apply kareneg to Google aapke blog pe adsense ko accept nahi karega jayega.
Also Read: Blogger Pe Apne Blog ko Monetize kaise kare
Umeed hai aapke liye ye article blogger blog kaise start kare helpful hoga. Apne blogger blog pe Sign in karne ke liye in steps ko use kare aur apni blo