How to set up and use google pay: Google Pay jise pahle Google Tez ke naam se jana jata tha, Google ka ek App hai jo users ko apne Phone number ka use kar ke UPI payment bhejne aur receive karne ki facility provide karta hai. Ye ek digital mode of payment hai aur jo amount hum send ya receive karte hai wo direct hamare linked bank account me deposite hota hai.
Ye App istemal karne me kafi simple hai aur ye user ko kisi bhi grocery shop pe contactless payment ke sath hi receiver ke phone number ka istemal kar ke bhi payment karne ki permission deta hai. Agar aap bhi is App ko istemal karna chahte hai to to aaj hum aapko How to set up and use google pay ki poori jankari denge, apne account ko setup aur use karne ke liye niche diye gaye steps ko follow karen.
Pre-Requisites:
Is App ko istemal karne ke liye aapke pass Smartphone me Android Lollipop ya iOS 10 ya is se upar ke version ke sath sath internet connectivity honi chahye.
Steps ko start karne se pahle kuch chizen hai jise dhyan me rakhna hai wo hai aapke mobile ke phone ka number aur bank me link kiya hua number dono same hona chahye. Sim card poori tarah se working condition me hona chahye taki phone call aur message ko receive kar sake.
How to set up and use google pay
- App store ya Play store ko apne smart phone me open karen aur Google Pay App ko download karen
- Ab App ko Open karen aur Language ko select karen
- Phone number enter karen jise aap apne smart phone me use kar rahe hai.
- Ap App aapse kuch necessary permission mangega, unhe allow kare
- Google account me login karen aur continue pe click karen
- Ab OTP ke liye wait karen aur Next button pe tap karen
- Verification process ke complete ho jane ke baad aapko apna bank account register karna hoga.
Also Read: WI-FI ka Password Pata Kaise Karen
Bank Account se Google Pay ko Register Kaise Karen
- Phle sure ho len ke aapka bank UPI payment service ko support karta hai, agar aapka bank UPI payment service ko support nahi kareta hoga to aap Google Pay ko use nahi kar sakte hai.
- Ab Google Pay ko open karen aur apne photo pe tap kren
- ‘Add Bank Account’ kew option pe tap karen
- List se Bank ko select karen
- Agar aapke paas pahle se UPI account aur pin hai to App aapko enter karne ke liye kahega, ya aap naya create kar sakte hai.
- Expiry date enter karen aur confirm karen
- Verification process ke complete hone ka wait karen
- Complete hojane ke baad App App ko ietemal kar sakte hai.
Google pay ki madad se Payment kaise karen
- Apne smart phone pe Google play App ko open karen
- Screen ke bottom ko upar swipe karen
- Kis bhi contact ko aap select karen ya phir aap ‘New’ ke option pe ja kar ksi ko bhi search kar skate hai
- ‘Pay’ pe tap karen aur amount enter karen
- ‘Proceed to pay’ ke option ko select karen
- Process ko complete karne ke liye UPI pin enter karen
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.
1 comment
Hello
Such a great and informative article.
Thanks for sharing
Comments are closed.