Agar aapne apne kisi bhi photo ko ghalti se delete kar diya hai, Ya phir aapne apne phone ko reset kiya aur aapke sabhi photos delete ho gaye. Lekin iske liye aapko pareshan hone ki zaroorat nahi hai aap apne Android phone pe deleted photo recover kar sakte hai. Simple ya advance bahut se trics hai jinki help se aap apne deleted photo recover kar sakte hai. To aaeye dekhte hai ke hum kaise deleted photo recover kare.
Also Read: Google Account Password Bhool Gayen- Aise karen Ise Recover
How to Recover Deleted Photo
Deleted Photo recover karne ke liye bahut se methods hai jinka aap Use kar sakte hai. To aaeye dekhte hai un methods ko.
Recover Photos From the Cloud
Zyadatar cloud aur photo App background me aapke photo ko backup karne ka option dete hai. To agar aapne ise On kar rakha hoga to chances hai ke aapke photos delete nahi huye honge. Agar aapke photos aapki phone ki gallery se delete ho gaye hai to iska matlab ye nahi ke aapke photos cloud backup se bhi delete ho gaye hai. Apni photos ko phir se pane ke liye apne cloud App me login karen aur pni photos ko download kar len.
App se phone me photos ko save karne ke liye niche diye gaye step ko follow kare
- Google phptos me App ko open karen
- Image ko open kare aur Save to device ke menu pe click karen
- Dropbox me Export me jane kebaad Save to device pe click karen
Agar aap apne cloud backup se bhi photo ko delete kar dete hai to aapke pass wahan pe bhi apni photo ko backup karne ka option hai. Cloud App me aap kisi bhi deleted file ko recover karne ke liye recycle bin me ja sakte hai, jahan pe aap kuch time interval ke andar apni photos ko delete kar sakte hai.
Recover Deleted photos from sd card
Agar aap apne photos ko cloud me backup nahi karte hai, To aap shayad ise apne SDcard me save kiya ho. Aap apne sd card ko desktop computer se connect karen aur kisi acche software recovery App ke use se apne software ko recover karne ki koshish kare. Lekin iski koi gaurantee nahi ke aapka photos recover ho jayegi.
Deleted file tab tak aapke sd card me hote hai jub tak card me koi naya data nahi dal diya jata hai. To jaise hi aapko pata chale ke aapne apne photo ko ghalti se delete kar diya hai to aap unhe jald hi apne sd card ko apne phone se remove kar len taki naye data se kahi aapka SD card overwrite na ho jaye.
How to recover deleted photo with an App
Market me deleted photo recovery ke liye bahut se App available hai jo aapke data ke lost data ko recover karne me help kar sakte hai. Aap Play store pe ja kar unhe download kar ke aur use kar ke dekh sakte hai ke kaun accha kaam karta hai. Lekin hum aapko jo App recommend kar rahe hai wo hai DiskDigger jo aapke use karne me aasan aur fast hai.
Ye App aapke memory card ke sath poore device ko deleted file ke liye scan karta hai. Aap ko use karne ek liye niche ke step ko fillow karen
- App ko Google play store se download aur install kar len
- App ko open karen aur “Refresh List” ko select karen
- Uske baad system folder ke option ko select karen
- Folder ko select karne ke baad “Scan Device” ke option pe tap karen
- Ab aapke screen pe haal me delete kiye huye file ki list aa jayegi.
- Jub aapko wo photo dikh jaye jise aap recover karna chahte hai to simply us pe tap kare aur Svae ke option ko hit karen.
- App ab aapse poochega ke aap apni photo ko kahan pe backup karna chahte hai.
- Ek baar location select kar lene ke baad aapko apne SD card ya phir system folder me photo dikh jayegi.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.