How to logout off Facebook Messenger: Facebook messenger me Facebook App ki tarah Log-out button nahi hai, jiski wajah se bahut saare user ko pareshani ka samna karna parta hai. Lekin agar aap Android ya iOS user hai to aapke liye kuch aise tricks hai jiski madad se aap bina App ko delete kiye messenger account se logout ho sakte hai. App apne Android phone ke setting ka use kar ke messenger se logout ho sakte hai. To aaeye dekhte hai ke kaise Android setting kimadad se hum messenger se logout ho sakte hai.
Also Read: Aise Payen Apne Old Phone Me Android 9 Pie Feature
Facebook Messenger se kaise logout ho
- Facebook messenger se logout hone ke liye aapko apne device ki setting me jana hoga.
- Niche scroll karen aur App ke option pe click karen
- App ki list me messenger ko search karen aur use tap karen
- Messenger ke App info page pe Storage pe click karen
- Storage details ke niche Clear Data button pe tap karen
Ab aap setting app ko close kar ke messenger ke option pe aaye aur dekhen ke wo work kar raha hai ke nahi. Agar aapne upar diye gaye steps ko theek se follow kiya hoga to aap dekhenge ke aapka messenger account successfully disconnect ho gya hai.
Facebook App se Messenger ko kaise logout karen
Agar aapke phone me messenger App hai to bahut zyada chance hai ke aapke phone me Facebook bhi hoga.
- Facebook App ko open karen
- ‘menu option’ pe click karen
- Niche scroll karen aur Settings & Privacy ke option pe jayen aur phir setting me
- Security and Login ke option pe tap karen
- Where You’re Logged In me Messenger session ko tap karen aur Log Out pe click karen.
Log Out from Messenger on Your iOS
- Facebook App open karen aur More pe click karen
- Settings me niche scroll karen aur Account Setting pe tap karen
- Account aur setting pe Security pe click karen
- Security me Where you’re logged in pe jayen aur apne device ke name pe click karen
- Three dots pe click karen aur logout ko select karen.
Iske baad aap apne messenger se logout ho jayenge.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.