Find gmail message by rfc8222: Kayi baar hamare sath aisa hota hai ke hum kisi ko bahut important email send karte hai par wo daily aane wale email ki jhund me kho jata hai. Aur phir use bhula diya jata hai. Agar aapko bhi is tarah ki pareshani ka samna karna par raha hai to aap bhi Gmail search operators, ka use kar sakte hai jaise ‘From ya subject’, jiski madad se aap us email ko baad me dhundh sakte hai. Kya ye useful nahi hoga ke aapke lapata email ko kisi ke mail me dhundhne ka direct koi tereeqa ho. To agar aap bhi jana na chahte haiu ke kisi ke email me apne mesage ko kaise locate kare to is article ko poora zaroor parhe.
Also Read: VPN Ko Setup Aur Use Kaise Kar
Ek alternate trick hai jiski madad se aap post me bheje gaye specific email message ko reciepient ko locate karne me madad karega.
How to Find gmail message by rfc8222
- Jub kabhi aap Gmail pe Email bhejte hai to RFC 822 specification ke anusar email header me ek unique Message ID add kar di jati hai.
- Apne Message ke is Id Ko Janne ke liye apne email ko Gamil me open karen.
- Three dot menu pe jaye aur Show Original ko select karen
- Message-Id headar ke pahle line me display ho jayega.
- Message ki Message-Id sender aur receiver dono ke liye exactly same hoti hai. Isliye agar recipient aapke bheje gaye message ke header ko apne mailbox me open karega to Message-id aapke dwara bheje gaye message se match karega.
- Agar aap message Id jante hai to aap google ke search operator – rfc822msgid ka use kar ke kisi bhi message ko search kar sakte hai. Ye aapko exact match provide karega.
- To agar aapka Message-Id abcd@gmail.com hai to jis message ka message Id aap jante hai to rfc8222msgid:abcd@gmail.com aapko exact mail search result me le aayega.
Ye trick sender aur receiver dono ke liye kaam karegi. Isliye agar aap recepient ko message Id bhej rahe hai to wo simply rfc822msgid operator ka use kar le specific message ko apne mail box me locate kar sakta hai.
Agar Recipient ka id bahut complex hai to aap simply gmail search page ka url copy kar sakte hai aur use recipient ko send kar sakte hai. URL iske liye kaam karega.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.