Do Not Disturb At Bedtime Feature: Raat me Nind ke beech se jagne pe hum aksar time dekhne ke liye apne phone ko dekhte hai aur apne phone pe notification ki light ko jalta hua dekh kar hum aaye huye bahut sare messages ki traf apna dhyan le jate hai aur ye hame dobara sone se distract kar deta hai.
Agar aap bhi is problem ko face kar rahe hai to Apple ne apne user ke is problem ko door karne ke liye Do Not Disturb at bedtime feature ko apne iOS 12 ke update me shamil kiya hai, jo aapke sone ke waqt notification ko aapke lock screen pe display hone se rokega yahi nahi balke notification sound ko bhi disable kar dega. To aaeye jante hai ke hum Apple ke is feature ka istemal kaise karenge.
Also Read: मोबाइल से विडियो Background कैसे Change करें
“Do Not Disturb” At Bedtime Feature ka use Kaisekaren
Niche diye gaye steps ko follow kar ke aap ‘Do not disturb’ At bed time feature ko enable kar sakte hai
- Setting App ko open karen
- ‘Do Not Disturb’ option pe jayen aur tap karen
- ‘Do Not Disturb’ section me “Scheduled” pe tap Kar ke ise on karen
- Apna Do Not Disturb time period select karen, zyaadtar log bed time ke liye ise set karte hai.
- Bed time ke liye set karne ke liye ‘Bedtime’ wale toggle button ko On kar den
iOS 12 me ‘Do Not Disturb Bedtime’ mode ek important feature hai jo un logon ke liye useful ho sakti hai jo raat ke waqt notification se pareshan nahi hona chahet. Broader perspective me ye App usage aur screen time ko track karne ke liye nayi features ke sath aaya hai, joki screen addiction se chutkara pane ke liye acha sabit ho sakta hai.