Delete facebook account permanently: Agar aap ne facebook ko finally chorne ka decide kar liya hai to aap ise permanently delete kar sakte hai. Halaki aapka ye jaan na zaroori hai ke Delete kiya hau account Reactivate nahi ho sakta hai aur aapne jo kuch bhi apne profile pe share kiya hoga wo sab delete ho jayega.
Apne Account ko permanently Delete karne se pahle niche diye gaye steps ko follow kar ke apne data ka back up le len
- Facebook me login karen aur Setting me jayen
- ‘General Account Settings’ me jayen
- Top me aa rahe ‘Go to your facebook’ pe click karen.
- Uske baad Download your information pe jayen.
- Ab Date ka range, Format aur media quality select kar ke ‘create file’ pe click karen.
Delete facebook account permanently
- Is link ko follow karen https://www.facebook.com/help/delete_account aur Delete My Account ke option pe click karen
- Itna kar lene pe aapse Password aur capcha code enter karne ke liye kaha jaayega
Finally Facebook aapko Notify karega ke aapka account Delete hone ke liye schedule ho chuka hai aur 14 dino ke andar delete ho jayega. Agar kisi wajah se aap apna mind change karte hai to delete ke request ko cancel karne ke liye apne account me 14 days ke andar kisi bhi time login kar sakte hai.
Facebook ne ye bhi kaha hai ke Deletion process ke shuruaat se lekar photos, status updates ya dusre relevent data ke sath sath sab kuch delete karne me lagbhag 90 din lag sakte hai.
Also Read: External Drive Not Recognize Issue ko Windows 10 me kaise Fix karen
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.