Delete Google account: Google ne abtak hundred se zyada product aur services ko market me launch kar diya hai, aur un me se lagbhag sabhi google account se manage kiye jate hai. Hum me se zyadatar log Google ke services jaise email, chat, maps, video, photos, music ke regular user hai.
Hall me hi Google ne apne privacy setting me kuch changes kiye hai. Jaisa ke hame pata hai ke google hamare sabhi activity pe nazar rakhta hai. Agar aap nahi chahte ke google aapki activity pe nazar rakhe to aap Google account ko permanently delete kar sakte hai. To aaeye dekhte hai ke hum google account delete kaise karen.
Also Read: Kaise Karen Google Search Result Me Comment Ko Add, Delete, Aur…
How to Delete Google account Permanently
Apne Google account ko Delete karne ke liye aap niche diye gaye steps ko follow kar sakete hai.
- Google me apne My Account settings me jayen
- Account preferences pe click karen
- Delete your account or services ke liye niche scroll karen
- Delete Google account and data pe click karen
- Password enter karen
- Ab aapko wo saare information dikhega jo aapke Google account ke sath delete ho jayega. Agar app chahe to data download kar sakte hai.
- Page ke niche aap apne data ko permanently delete karne ke liye checkbox ko tick kar sakte hai.
- Delete Account pe click kar ke aap apne Google account ko permanently delete kar sakte hai.
Is tarh se aap apne Google account ko delete kar sakte hai. Ye information is tarah aapke liye helpful hoga jub aap ek fresh start karna chahte ho. Lekin account ko delete karne ka ye matlab bilkul bhi nahi hai ke google aapke baare jo kuch jaanta tha aapne wo bhi delete kar diya.
Agar aap Google account delete karte hai to aap kya kho denge
Agar aap Google play store se chizen kharidte hai to Google account ko delete karne ke baad jo nuqsan aapko uthana parega wo aapke liye mahnga ho sakta hai kyu ki apne google account ke sath hi aapke sabhi paid apps movies aur dusre app purchase ko bhi aapko khona parega.
Short me aapko bata den ke aapke Google account se jude sabhi data ko remove kar diya jayega jisme Search, Gmail, Calendar, Google Drive, Google Photos, YouTube, google chrome, mobile device aur Chromebook ka data shamil hai.
Google Account Recovery
Agar aap apne Google account ko delete karne ke baad recover karna chah rahe hai to aap apne google account recovery ke liye is official link ko follow kar sakte hai. Apne account ko recover karne ke liye aapko last password, recovery email, aur security question ke answer ka pata hona chahye.
Agar aapne apne account ko accidentally delete kar diya hai to aap apne account aur data dono ko turant recover kar sakte hai. Par agar aap kuch time beetne ke baad apna account recover karna chahte hai to aapko data ko recover karne me pareshani ho sakti hai kyu kuch time beet jane ke baad google aapke data ko remove kar deta hai.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.
1 comment
Awesome article
Comments are closed.