Create your own sticker: Emoji ke baad ab sticker feature bhi WhatsApp user ki pasand ban gayi hai. WhatsApp ke is naye feature ko log kafi zyada pasand kar rahe hai. Isliye whatsap ne apne sticker feature ko aur bhi zyada intresting banane ke liye kafi zyada third party sticker App ko WhatsApp se link kar diya hai. Kayi baar hum likhne se zyada sticker ki madad se apne expression ko dikhana chahte hai aise sticker feature hamare bahut kaam aata hai. Agar aap chahte hai ke WhatsApp me diye gaye sticker ke alawa apna khud ka sticker bana kar apne expression ko dikhaye to aaj hum aapko batayenge ki hum kaise apna khud ka sticker create kar sakte hai.
Also Read: Whatsapp stickers को कैसे डाउनलोड मैनेज और यूज़ करें
Aapko bata den ke WhatsAp ke latest updated version 2.18 ke emoji section me sticker feature ab dikhayi dene laga hai. Yhan pe aapko ek sticker pack milega lekin aap built-in sticker store se apne pasand ka koi bhi sticker download kar sakte hai. Apne kisi bhi photo ko sticker me badalne ke liye aap niche diye gaye steps ko follow kar sakte hai.
How to create your own sticker
- sabse pahle aap Google play store se Sticker Studio – Sticker Maker for WhatsApp App ko download karen
- Sticker maker App ke download ho jane ke baad App ko open karen
- ‘Create a new stickerpack’ ke option pe click karen
- iske baad sticker ka naam aur author ka naam enter karen
- Detail fill ho jane ke baad us stickerpack ko open karen
- Stickerpack ko open karne ke baad Aaapko bahut saari icon dikhayi degi, sab se upar dikhyi de rahe tray icon pe click karen
- Ab aapko do option dikhayi denge aap nayi photo ckhinch sakte hai ya phir pahle maujood kisi bhi photo ka use kar sakte hai. Photo ka selection karte waqt App aapse photo access karne ki permission mangega, aap use allow kar den
- Photo select karne ke baad aapko us photo ka jitna area aapko chahye use apni ungliyon se select karen
- Uske baad save sticker pe click kijye
- Tray icon set hone ke baad aap is sticker pack me 30 custom sticker ko add kar sakte hai. Aapke dwara create kiye huye sticker pack ko publish karne ke liye kam se kam teen sticker ka us pack me hona zaroori hai.
- Apna sticker bana lene ke baad niche diye gaye publish stickerpack pe click karen wahan pe aapko WhatsApp se Add karne ka option aayega Add pe click karen
- Add pe click karne ke baad aapka sticker WhatsApp me add ho jayega
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.