Add comment in Google Search:Google apne Plateform ko pahle se kahin zyad informative bana raha hai. Mountain View firm Google ne search result me user ko comment Add karne ki feature ko add kar ke ye possible kiya hai. Aap sirf comment hi nahi add kar sakte balke comment ko delete, like dislike, aur yahan tak ke report bhi kar sakte hai. Aap google pe search kiye gaye chizon pe comment kar sakte hai. Aap dusrob ke kiye huye comments ko bhi parh sakte hai. Halaki ye baat clear ho gayi hai ke google search result me comment different languages me support nahi karega. Agar aap soch rahe hai ke hum aisa kaise kar sakte hai to hamare niche diye gaye guide ko follow Karen
Google search Result me comment kaise Add karen
- www.google.com ko apne phone me open karen ya google App ko apne smartphone me
- App khuch bhi search karen
- Overview box me ‘more’ pe click karen
- ‘Viewers’ ke baad Comments ke option pe click karen
- Add a public comment pe click karen
- Apne comment ko type aur post karen
- Apna comment type karen aur post karen
Comment ko Delete kaise karen
- Apne PC ya smart phone pe Google ko open karen
- Us keyword ko search karen jispe aapne comment kiya tha
- Viewer aur comment ‘More’ pe click karen
- Apne comment ko dhunde aur ‘More’ pe tap karen
- Delete ke option ko select kar ke comment ko remove karen
Dusron ke comment ko View aur report kaise karen
- Google open karen aur kuch search karen
- Overview box me tap pe click karen
- Us Comment ko select karen jise aap parhna chahte hai
- Aap All comments ya Top comments pe tap kar ke sabhi comments ko parh sakte hai.
Ye feature user ko like, dislike, aur comment ko report karne me ke bhi option deta hai. Aap respective options pe ja kar aisa kar sakte hai.