Aagr aapko kisi insan se ek E-mail receive hui hai jiske sath aapne kabhi koi baat nahi ki hai, isliye us insan se apne conversation ko aagae badhane se pahle aapko us insan ke bare me janne ke liye Internet pe kuch research kar leni chahye. To aaeye jante hai ke aap directly kisi se pooche bina reverse email lookup ki madad se aisa kaise kar sakte hai.
Google reverse email lookup karne ke liye sabse acchi jagah hai, agar aapko mail bhejne wale insan ka koi website nahi hai aur us ne apne E-mail Address ko kabhi bhi kisi public forum pe use nahi kiya hai to aise condition me Google us insan ka pata lagane me aapke liye bahut madadgar sabit ho sakta hai.
To aapko pareshan hone ki zaroorat nahi hai. Agar aapko us insan ka sirf Email Address pata hai aur uske alawa kuch bhi pata nahi hai to yahan pe kuch aise ways bataye ja rahe hai jinki madad se aap us unknown E-mail sender ki identity ko uncover kar sakte hai.
Reverse Email Search kaise karen
#1. Sender’s ke location ka pata lagaye
Apne E-mail message ka header open karen aur un “Received: from” ke lines ko dekhe iske bad square bracket me IP address hota hai. Agar yahan pe bahut saare entries huye to aap last entry me di gayi IP address ko use karen.
Ab IP address ko is Trace rout toll me paste karen, yahan se aapko email sender ke approximate location ka pata lag jayega.
Also Read: Linkedin Par Apna Last Name Kaise Hide Karen
#2. Reverse email search with Facebook
Facebook pe billions user hai aur is liye possibility zyada hai ke sender ka profile facebook pe bhi ho skata hai.
Linkedin aur dusre bahut se social network se ulat, Facebook aapko E-mail address ki madad se user ko search karne ki parmission deta hai. Aapko us person ki E-mail address ko search bar me paste karna hoga jise aap dhundhna chahte hai aur facebook aapko turant bata dega ke is email address se koi profile exist karti hai ke nahi.