Password Checkup Chrome browser ke liye Google ka ek naya security extension hai jiski help se user ye pata laga sakta hai ke Unke G-mail account detail compromize hua hai ke nahi. Agar kisi bhi user ka password compromise ho jata hai to user ko drop-down menu box se ye user ko alert karta hai aur user ko password ko change karne ke liye encourage karta hai. Is article me hum aapko batayenge Google Password Checkup Tool kya hai, aur iska use kaise kare? To aaeye dekhte hai what is Google Password Checkup tool and How to use Google Password Checkup tool in Hindi.
Google ne is feature ko apne 4 million user ke user name aur password ke compromise hone ke baad launch kiya hai. Google ke is naye feature Google’s password checkup tool ki help se aap ye pata laga sakte hai ke aapka account secure hai ya nahi, agar aapka account hack ho gya hai to aap is extension ki help se apne password ko badal sakte hai.
Google password checkup tool Kya hai?
Password checkup tool Google chrome browser ka ek security extension hai jiski help se aap ye pata kar sakte hai ke aapka account un 4 million hacked account me hai nahi. Aap is extension ki help se ye bhi pata laga sakte hai ke aapka password compromise ho sakta hai ke nahi. Agar aapka password compromise ho gya hai to ye aapko ek drop-down menu dikha kar batata hai ke aapke accont ke sath kuch cheer chaar ho rahi hai.
Drop-down menu ki help se user apne password ko change kar sakta hai, ye feature logo ko unke password ko change karne ke liye motivate karta hai. User agar chahe to is drop-down menu ko ignore bhi kar sakta hai.
Is feature ki help se wo 4 million log jinka data hack ho gya hai wo aasani ke sath apna password badal sakte hai.
Google Password Checkup Tool Ka Use Kaise Kare?
Google password checkup tool ek bahut hi aasan tool hai, aapko iska use karne ke liye google chrome extension ko install aur activate karna hoga. Google chrome extension ko install aur activate karne ke liye aap niche diye gaye steps ko follow kar sakte hai.
Step 1.
- Chrome Browser ko apne computer pe open kare
- Apne Google account me signin kare
- Ab Chrome Web store pe jaye
- Ab Password checkup extension ko install kare
Step 2.
Password checkup extension install kar lene ke baad Browser bar me right side me aapko iska icon dikhayi dega.
- Ab aap apne system pe kisi bhi site ko open kare
- Agar aapka password compromise ho chuka hoga to Google Password Checkup Tool ka color red ho jayega.
- Icon ka color red hone ke sath hi ek drop down menu bhi open hoga jiski help se aap apne account ke password ko change kar sakte hai.
- Agar aapka account hacked list me nahi hoga to browser me extension ke icon ka color grren hi rahega, aur aapke account ke liye koi bhi warning show nahi hogi.
Password checkup extension install karne ke baad aap browser bar me iske icon pe right click kar ke ise manage kar sakte hai. Aap remove ke option pe ja kar is extension ko remove kar sakte hai ya phir manage extensions ke option pe jakar password checkup extension ko on-off kar sakte hai.
Iske sath hi agar aap password checkup data clear karna chahte hai to password checkup advanced settings me jakar clear extension data pe click kar ke apne data ko clear kar sakte hai.
Google ke is security extension ki help se aap bare aasani ke sath ye pata laga sakte ahi ke aapka user name aur password compromise hua hai ke nahi. Aap Google Password Checkup Tool k security checkup ka use kare aur apne account ko secure rakhe.