Agar ap Google meet pe video conferencing se regularly bahut zyad office meting ko attend karte hai aur apne background ko fix karne se pareshan ho chuke hai taki wo accha dikhe to aapke is problem ko fix karne ke liye Google meet ka background blur feature aapke liye helpful ho sakta hai.
Google ne finally apne Meet video conferencing and collaboration tool me background blur feature ko add kar diya hai taki surrounding ko hide karne ke liye background ko blur kar sake.
Pre-requisites:
- Google Account
- Working internet connectivity
- Google Chrome browser
Background blurring by default switch off ho sakta hai, user ko ise manually on karna hoga. Ye feature directly browser me available hai, iske liye kisi extensions ya additional software ki zaroorat nahi hai.
Yaha pe Bataya gaya hai ke aap kis tarah se Background ko Blur kar sakte hai:
- Meeting me rahte huye aap in steps ko follow kar sakte hai.
- Bottom right me aap More Customise aur control Google Chrome pe click kare.
- Phir turn on background blur pe click kare.
- Meeting se pahle blur karne ke liye is step ko follow kare.
- meet.google.com Pe jaye aur meeting ko select kare.
- Ab bottom right corner me Turn on background blur pe click kare.
- Apne blur background ko dekhne ke liye aap apne self-view ko dekhe
- Background ko blur karne pe aapka device slow ho sakta hai.
Note: is feature ke effectiveness ko improve karne ke liye ye sure kare ke camera stable ho aur subject aur background ke beech me acchi doori ho.
Ummid hai aapko Google meet ka background blur feature ka ye article (Google Meet Pe Background Blur Feature Ka Use Kaise Kare) informative laga hoga. Agar aapka koi swaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye (WordPress in Hindi) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.