अच्छी आदत कैसे अपनाएं ? Jaisa ke hum jante hai ke Human Beings are creature of habits, hum jaise habit dalte hai hum usi ko follow krne lgte hai. Halake hum apni jitni bhi habit ko follow krte hai sabhi ko pasand nhi krte hai phir bhi heme uski adat ho gyi hai isi wajah se na chahte hua bhi heme un habit ko follow krna parta hai. Hamari sari Habits achi nhi hoti kuch habbits aise hote
hai jise hum badalna bhi chahte hai per aisa kar nahi pate hai.To dosto agar aplog bhi apni life me acchi aadaton ko shamil krna chahte hai aur apni life ko sahi raste pe rakhna chahte hai to aaj is post ko parhye aur jane k Acchi Adate kaise dali jati hai aur uspe stick kaise raha jata hai.
Achi Adat kaise Dale
Apni buri adaton ko pahchane– Sabse pahla kam jo achi adaton ko dalne ke liye zarrori hai wo hai ap ka janna ke ap ke andar kaun kaun si buri adaten hai Achi adaton ko dalne k liye subse zyada zaroori hai k hum apni buri adaton ko chore. Sub se pahle to ap apni buri adaton ki list bna le. Buri adaton ka list banane ka ye faida hai ke apko apni buri adaton ka pta honga aur ap tab hi apne us habit ko dur krne ki koshish krenge. Isliye achi adat ko dalne k liye hame apni buri adat ka pta hona chahye tab hi hum use dur kr ke acchi adaton ko sikh sakte hai.
Decision len aur comitment kre khud se ise badalne k liye– Halake ye kahna karne se kahi asan hai phir bhi agar aap kisi ache kam ko le kar khud se bar bar commitment krte hai to ye commitment kuch na kuch kam humse krwa hi leta hai. Har badi chiz ki shurwat ek chote se step se hi hoti hai to bus apko zarorat hai ek choti se step lene ki.
Apne trrigers aur obstacles ko dhundhe- Hame success hone ke liye ye janna bahut zaroori hai ke hamari obstacles kya hai Achi adaton ko banane ke liye ye janna zaroori hai k wo kaun si chizen hai jo hame achi adaton ki taraf badhne se rok rahi hai
aur hame use dur krne ke liye healthy alternatives sochna hoga.
Ek plan tayr kre– Hame apni budi adaton ko achi adaton se replace krne ke liye kuch plan tayar kerne chahye, to ye krne ke liye hame subse pahle ye dhyan dena hoga ke wo kaun si achhaiya hai jo mujhe khud me lani chahye. Aur phir hame un acchaiyon ko practice krni chahye kuch plan ke tahat aur last me apko hairan kr dene wali haqiqat samne ayegi aur ap dekhenge k ap un habbits k adi ho chuke hai.
Find healthy ways to reward yourself– Hamre andar bahut si budi adate is liye bhi develop ho jati hai kun ke wo hame khushi dete hai to bus hame kuch aisa karna hai jis se hum kuch accha karne pe khud ko reward kare waise chizon se jo hame khushi deta hai aisa krne se hum apne good habbits ko bar bar krna chahenge aur ispe stick rhne ki koshish krenge.
Good habits banane ki ek wonderful bat ye hai ke jub ye habbit ban jati jati hai to hame isse karne ki zaroorat nhi parti hai ye hamse Automatically ho jata hai aur aisa hone ke bad apko iske liye koi zyada efforts lagane ki zarrorat nhi hoti hai aur apki acchi
adat hamesha apko aur apke as pass ke logon ko khushya deti hai.