WordPress se related bahut sare tutorials, guides, aur code snippets web pe available hai. In tutorials, guides aur code ki help se WordPress user nayi chizon ko apne website pe use karte rahte hai. Bahut baar ye attempt naye users ko trouble me bhi daal deta hai jiski wajah se aapki site pe unexpected syntax error generate ho jata hai. Agar aapko bhi apne WordPress site pe kisi theme ya plugin ke sath experiment karte waqt syntax error milta hai to pareshan na ho, is article me hum aapko batayenge ke aap apne WordPress Me Kaise Kare Fix Syntax Error Ko ?
WordPress Me Kaise Kare Fix Syntax Error Ko ?
WordPress me existing theme or plugin files ko edit karte waqt syntax error ek bahut hi common issue hai jo user ke samne aata hai. Yahi wajah hai ke kabhi bhi kisi bhi WordPress file ko edit karne se pahle hame backup lene ke liye advice diya jata hai.
Syntax Error ko fix karne ke liye aapko us code ko edit karna hoga jiski wajah se ye error generate hua. Aap ise remove kar sakte hai ya phir syntax ko fix kar sakte hai. Jub syntax error WordPress me hota hai to aap aapne wordpress site se locked out kar diye jate hai. Iska matlab hai ke aap apne wordpress theme ya plugin me kiye gaye mistake ko wordpress dashboard se sahi nahi kar sakte hai. Dashboard ke alawa aapke pass aur bhi bahut se options hai jiski help se aap is error ko fix kar sakte hai.
Jub bhi aapke website pe syntax error generate hoga aapko niche diye gaye screenshot jaisa message milega.
Aap simply FTP client ya file manager ki help se apne wp file ko access kar ke is error ko fix kar sakte hai. Apne error message ke path ko follow kare jo aapke syntax error me diya gya hai. Us file ya folder ko access kare jiski wajah se ye issue aa raha hai. Aap ya to us code ko remove kar de jise aapne pahle add kiya tha ya phir aap correct code ko enter kare.
Aapke code enter karne ke baad “File Has Changed” ka ek pop up display hoga, aap Yes pe click kare aur apne site ke url ko refresh kare aapka site correctly run karne lagega.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( WordPress Me Kaise Kare Fix Syntax Error Ko ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?