WordPress me memory exhausted error common WordPress errors me se ek hai. Is error ko aap simply php memory limit ko increase kar ke fix kar sakte hai. Is article me hum aapko batayenge WordPress Me Kaise Kare Fix Memory Exhausted Error Ko ?
WordPress Memory Exhausted Error Kya Hai ?
WordPress ko PHP programming language me likh agya hai jo ke ek
server-side programming language hai. Har ek website ko properly function karne ke liye WordPress hosting server ki zaroorat hoti hai.
Web servers ko kisi bhi application ko run karne ke liye memory ki zaroorat hoti hai, jo unhe server administrator unhe allocate karte hai. Server administrator inhe specific memory size different application ke liye allocate karte hai. Taki ye multiple applications ko same time me efficiently run kar sake.
Jub aapke wordpress code ko default allocated memory se zyada memory ki zaroorat hoti hai tab y niche diye gaye errors dikhenge.
Fatal error: Allowed memory size of 33554432 bytes
exhausted (tried to allocate 2348617 bytes) in
/home4/xxx/public_html/wp-includes/plugin.php
on line xxx
By default WordPress khud hi PHP memory ko increase karne ki koshish karta hai agar wo 64MB se kam hota hai. To aaye dekhte hai how to fix memory exhausted error in WordPress.
WordPress Me Kaise Kare Fix Memory Exhausted Error Ko ?
Is problem ko resolve karne ke liye aapko memory limit ko increase karna hoga. Memory limit ko increase karne ke liye aapko apne WordPress site ke wp-config.php file ko edit karna hoga. WP-config.php file directory aapko WordPress site ke root directory me mil jayega. Iske liye aapko FTP client ya file cPanel File manager ki help se website se connect hona hoga.
Aapko niche diye gaye code ko ‘That’s all, stop editing! Happy blogging.’ line ke niche paste karna hoga.
define( ‘WP_MEMORY_LIMIT’, ‘256M’ );
Is code ki help se aapke WordPress website ka limit 256 MB ho jayega.
Ek baar file ko edit karne ke baad aapko changes ko save karna hoga. Aur agar aap FTP method ka use kar arahe hai to aapko server pe wp-config file ko phir se upload karna hoga.
Ab aap apne wordpress site pe ja kar dekh sakte hai ke memory exhausted error disappear ho chuka hoga.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( WordPress Me Kaise Kare Fix Memory Exhausted Error Ko ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?