Kya aapko apne WordPress site pe kabhi “Another update currently in process” error ka samna karna para hai. Is error ki wajah se aap apne WordPress ko update nahi kar pate hai. Normally ye error khud ba khud chala jata hai. Lekin kabhi kabhi aisa nahi hota ke ye automatically chala jaye. Aise condition me hum ise easily fix kar sakte hai. Aaj is article me hum aapko batayenge ki WordPress Me Kaise Kare Fix Another Update in Process Error Ko ?
‘Another update currently in process’ error ko fix karne se pahle hum aapko is error ke hone ki wajah ke bare me bata de ke ye error kyu hota hai.
Ye message usually tab appear hota hai jub core WordPress update background me run kar raha hota hai aur user dusre update process ko run karne ki koshish karta hai.
Core update process ke dauran WordPress database me automatically ek lock option set kar deta hai, jsiki wajah se database simultaneous updates ko run hone se rokta hai.
Ye message usually 15 minute me disappear ho jata hai, jub udpdate process finish ho jata hai. Aur agar aap is message stuck ho gaye hai ya phir aap wait nahi kar sakte hai to aap ise manually reset kar sakte hai. To aaeye dekhte how to fix ‘Another update currently in process’ error in wordpress.
WordPress Me Kaise Kare Fix Another Update in Process Error Ko ?
‘Another update currently in process’ error ko quickly fix karne ke liye aapko apne database me core_updater.lock option ko delete karna hoga. Apko core_updater.lock option ko delete karne ke do options niche bataye gaye hai aap dono me se kisi ke bhi help se core_updater.lock option ko delete kar sakte hai.
Method 1: Using a Plugin :
Another update currently in process’ error ko fix karne ke liye sab se pahle aapko Fix Another Update In Progress plugin ko install aur activate karna hoga. Plugins ko install karne ke liye aap hamare niche diye gaye guide ko follow kar sakte hai.
Plugin ke activate ho jane ke baad aapko Settings me Fix Another Update In Progress page pe jana hai, agar aapke website pe update locked hoga to aapko ek button pe ise fix karne ka message dekhenge jispe click kar ke aap ise fix kar sakte hai.
Fix WordPress Update Lock button pe click karne pe plugin WordPress core update lock option ko aapke database se delete kar dega aur aapko ek success message mil jayega.
Method 2. Manually Fix Another Update in Process :
Id method me aapko phpMyAdmin ko use karna hoga taki aap apne wordpress database me query ko directly rum kar sake.
Sabse pahle aapko apne WordPress hosting account me cPanel dashboard me jana hoga. Database section me aapko phpMyAdmin me jana hoga.
Ab aapko phpMyAdmin me wordpress daatabase ko select karna hai.Yhan pe aapko database me jitni bhi files hai unki list dikhegi.
Aapko WordPress option table me wp-options ke aage browse button pe click karna hai.
Browse pe click karne pe aapke samne option table ke sabhi rows open ho jayenge. Aapko ‘core_updater.lock’ wale option ko select karna hai aur use aage wale Delete button pe click karna hai.
PhpMyAdmin ab aapke database se us row ko delete kar dega. Ab aap apne wordpress site pe ja kar update process ko start kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( WordPress Me Kaise Kare Fix Another Update in Process Error Ko ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?