WordPress me 503 Service Unavailable Error un errors me se ek hai jiska samna aapko website pe kabhi bhi ho sakta hai. Is error ke sath problem ye hai ke is error me ye baat clear hi nahi hota hai ke issue kis wajah se hua hai joki beginners ke liye kafi frustrating hota hai. Aaj is article me hum aapko batayenge ke WordPress Me Kaise Kare fix 503 Service Unavailable Error Ko ?
Har hosting account ke liye sabhi WordPress hosting companies ek fixed amount ke resources offer karti hai. Aur shared hosting wale website is limit ko heavy server resource usage ke liye handle nahi kar pate hai.
503 service unavailable error tab hota hai jub aapka web server PHP script se proper response nahi le pata hai. Ye PHP script Wotrdpress plugin, theme ya phitr misbehaving custom code snippet ho sakta hai.
Agar error heavy usage, server glitch, DDOS attack ki wajah se huya to wo kuch hi minute me disappear ho jayega. Aur agar ye kisi bad code ki wajah se hua to ye tab tak hota rahega jubtak aap ise find karke disable na kar den.
To aaeye dekhte hai ke aap WordPress me 503 service unavailable error ko fix kaise kare.
WordPress Me Kaise Kare fix 503 Service Unavailable Error Ko ?
Jaisa ki hum ne apko pahle hi bata diya hai ke service unavailable request tab hota hai jub aapka server ko background me run kar rahe
PHP script se proper response nahi mil pata hai. Is problem ko resolve karne ke liye hame sabhi PHP scripts ko one by one kar ke disable karna hai jub tak ye issue resolve na ho jaye.
Deactivate All WordPress Plugins :
WordPress me hone wale zyadatar issue faulty plugins ki wajah se hote hai. Sabhi wordpress plugin PHP script hote hai isliye 503 error ko resolve karne ke liye sabse pahle hame sabhi plugins ko deactivate karna hoga.
Agar aap apne WordPress dashboard me 503 error ki wajah se logon nahi ho pa rahe hai to aap FTP client ya cPanel File manager ki help se website se connect ho. Connect ho jane ke baad aap /wp-content/ folder me jaye aur plugin folder ko kisi dusre naam jaise plugin-old se replace kar den.
Ab aapko ek folder create karna hai aur use plugin naam dena hai. Ab aapko apne wordpress site pe visit karna hai aur dekhna hai ke problem resolve hua ya nahi.
Agar aapka problem resolve ho gay to iska matlab hai ke aapki website pe installed WordPress plugin is issue ki wajah hai. Plugin ko rename karne se sabhi plugin deactivate ho jate hai.
Ab ye pata lagane ke liye ke ke kaunsa plugin ki wajah se ye issue ho raha tha aapko phir se FTP ya file manager ki help se website se connect hona hoga. Ab /wp-content/ folder me ja kar empty plugin folder ko delete karna hoga.
Ab aapko Plugin-old folder ko phir se plugin me rename karna hoga. Aisa karne se aapke sabhi previous WordPress Plugin WordPress me available ho jayenge, halaki ye abhi bhi deactivate hi honge.
Ab aapko apne WordPress admin area me aa kar plugin page pe kar sanhi plugin ko one by one ac kotivate kar ke dekhna hai ke kaun se plugin ki wajah se ye issue aa raha hai. Ek baar jub aapko us plugin ka pata chal jaye to aap us plugin ko kisi dusre plugin se replace kar den.
Agar is step ki help se aapka issue resolve ho jaye to aapko kisi dusre step ko follow karne ki zaroorat nahi hai. Agar is step ko perform karmne ke baad bhi ye issue waise hi bana hua hai to aap niche diye gaye steps ko follow kar sakte hai.
Switch to a Default WordPress Theme :
Agar wordpress plugin ko deactivate karne se aapka issue resolve nahi hota hai to aap default wordpress theme pe switch kar sakte hai. Aisa karne se aapka default wordpress theme deactivate ho jayega.
Apko apne wordpres site ko FTP client aur cPanel File manager ki help se connect karna hoga. Connect hone ke bad aapko /wp-content/themes/ folder me ja kar currently active wordpress theme ko apne system pe backup ke liye download kare.
Theme ko apne system pe download kar lene ke baad aap active theme ko delete kar den. Agar aapke website pe default WordPress theme jaise twenty-sixteen hoga to ye automatically activate ho jayega. Agar aapke website pe nahi hai to aap use insatll kar sakte hai.
Theme ko switch karne ke baad website pe ja kar check akre ke issue resolve hua ke nahi.
Troubleshooting :
Agar uapar diye gaye dono method ko perform karne ke baad issue resolve nahi hota hai to aap apne web hosting company se baat kar sakte hai shayad wo aapke problem ko pin-out karne me kuch help kar sake.
Iske alawa last solution ye hai ke aap apne WordPress ko fresh way me install kare.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( fix 503 Service Unavailable Error ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?