Agar aapke WordPress site pe 429 too many requests error show ho raha hai to ye aapke liye frustrating ho sakta hai, kyu ki yah pata lagana mushkil hai ke is error ki wajah kya hai. Aaj is article me hum aapko batayenge ke WordPress Me Kaise Kare Fix 429 Too Many Requests Error ko ?
429 too many requests error ki common wajah hai ki jub koi server bot ya script server se bahut request karne ki koshish karta hai to ye error show hota hai. Ye Website ko DDOS attack se prevent karne ka ek tareeqa hai.
Agar ise theek se configured nahi kiya gya to ye search engine aur dusre APIs ko properly run karne se rok sakta hai. Ye aapke website par unexpected behavior ka reason ho sakta hai.
Kabhi kabhi ye error tab hota hai jub aapki website pe ek script kisi dusre website ya service ke liye API ka use kar ke bahut zyada request karti hai. Aur isi case me API 429 error code show karta hai.
To aaeye dekhte hai ke hum kaise easily WordPress me
429 too many requests error fix kare.
WordPress Me Kaise Kare Fix 429 Too Many Requests Error ko ?
WordPress me 429 Too Many Requests Error bahut sare reasons ki wajah se hote hai. Is error ko troubleshoot karne ke bahut se ways niche diye gaye hai.
Find and Deactivate Misbehaving Plugin :
429 error ko fix karne ke liye aapko sabse pahle us plugin ka pata lagana hai jiski wajah se ye error show ho raha hai. Kabhi kabhi plugin aapki website pe request karte hai jise server 429 error code ke sath reject kar sakta hai.
Pahli chiz jo aapko karni hai wo hai sabhi WordPress plugin ko deactivate karna. Ap WordPress admin area me plugin page par ja kar sabhi plugin ko select kar sakte hai. Sabhi plugin ko select karne ke baad aap bulk action me “Deactivate” ko select kar ke Apply pe click kar sakte hai.
Agar aap apne WordPress admin area ko access nahi kar pa rahe hai to aap cPanel dashboard se bhi sabhi plugin ko deactivate kar sakte hai. CPanel ki help se plugin ko deactivate karne ke liye aap niche diye gaye guide ko follow kare.
Ab aap apne WordPress site ko phir se check kare ki 429 error hai ya kahatm ho gya. Agar 429 error resolve ho gya to iska matlab hai ke kisi plugin ki wajah se ye issue aa raha tha.
Ab plugins ko ek ek kar ke activate kare aur site ke performance ko check kare. Pata chal jane pe ke kaun se plugin ki wajah se ye issue create ho raha tha us plugin ko kisi dusre plugin se replace kar den.
Switch to a Default WordPress Theme :
Bahut sare aise theme hai jo aise functionality ke sath aate hai jo plugins me hoti hai. Aur aise theme aapki WordPress website pe 429 error too many requests ka reason ho sakte hai.
Iska pata lagane ka sabse easy way ye hai ke aap default wordpress theme pe switch kar jaye. Agar is se 429 error too many requests issue resolve ho jata hai to aap dusre WordPress theme pe switch kare aur developer ko is theme ke issue ke bare me bataye taki wo ise fix kar sake.
Ask Your Hosting Provider :
Bahut baar aapko 429 too many requests error third-party service ki wajah se show hoti hai jo aapki website ko access karna chahti hai. Ye search engine, crawler, aur koi dusre web Apps ho sakte hai.
Agar Google search console ya kisi third-party service me ye error aapko show ho raha hai to, aisa ho sakta hai ke ye aapki site pe bahut sare request send ka rahe ho. Aise case me aapko WordPress hosting provider se un request ko block nahi karne ke liye kahna hoga.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( Fix 429 Too Many Requests Error ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?