Incorrect file aur folder permissions error aapke website me upload ke time problem create kar sakta hai. Is article me hum aapko batayenge ke aap WordPress Me File Folder Permissions Error Ko Kaise Fix Kare ?
WordPress Me File Folder Permissions Kaise Work Karta Hai ?
File and Folder Permissions aapke server ko batata hai ke aapke hosted account pe files ko kaun read, run, ya modify kar sakta hai. WordPress server pe file ko manage karne aur folder ko create karne ke liye permission ki mangta hai.
Incorrect file permissions WordPress ko file create karne, image ko upload karne aur kuch scripts ko run karne se rok deta hai. Incorrect permission site ke security ko bhi compromize karta hai.
WordPress Correct File And Folder Permissions :
Correct File and Folder Permissions WorPress ko files aur folders create karne ke liye allow karta hai. Niche diye gaye settinga ko Files aur folder ke liye recommend kiya gaya hai.
755 har tarah ke folder aur sub folder ke liye
644 sabhi files ke liye
To aaeye dekhte hai ke hum WordPress me file and folder permissions ko kaise fix kare.
WordPress Me File Folder Permissions Error Ko Kaise Fix Kare ?
Sabse pahle aapko apne WordPress site se FTP client ki help se connect hona hoga. Connect ho jane ke baad WordPress site ke root folder me jaye. Uske baad Root directory ke folders ko select kare aur right click kar ke File Permission ke option me jaye.
Aapke samne File permission dialog box open ho jayega.
Ab aapko numeric me 755 enter karna hoga. Uske baad aapko‘Recurse into subdirectories’ ke checkbox pe click karna hoga, aur phir
‘Apply to directories only’ option ko select karna hoga.
Ok button pe clcik kare aapka FTP client file permission ko folder aur subfolder me set karna start kar dega.
Iske baad aapko apne WordPress root directory ke sabhi files aur folders ko selct kar ke File Permission ke option pe click karna hoga.
Apke samne file permission dialog box appear ho jayega.
Is baar aapko 644 numeric value enter karna hai. Aur uske baad ‘Recurse into subdirectories’ ke option ko check box me check karna hai aur ‘Apply to files only’option ko select karna hai.
Continue karne ke liye OK pe click kare
FTP clients aapke WordPress site ke sabhi file permission ko set karna shuru kar dega.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article (WordPress Me File Folder Permissions Error Ko Kaise Fix Kare ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- LumaFusion PC Style Video Editing App For Android & iOS
- Professional Mobile video Editing | VN Video Editor App
- Canva – Graphic Designing App For Mobile
- 5 Steps – Successful Freelancer Guide
- Mobile Se Professional Video Editing Kasie Karen