Agar aap self-hosted WordPress blog chala rahe hai to aapko kayi baar PHP Memory Limit Exhausted, PHP Maximum Execution Timeout Error, Limited Upload File Size jaise error mile honge. Ye error hame traffic barhne par, kisi naye theme ya plugin ko install karne ke baad ya phir kisi bhi dusre changes ke baad show hota hai. Is article me hum aapko batayenge “How To Exceed php Memory Limit “.
Ye error aapko tab aate hai jub aap apne allocated memory ko use nahi kar pate hai. Agar server ke php.ini file me memory limit override ho jati hai to is wajah se aap apne allocated memory unit ka poora faida nahi utha pate hai. Aise me aap apne actual available allocated memory ka 50% hi use kar pate hai.
php.ini file aapke root directory me created ek file hai jo aapke server ko php variable ke use se govern karti hai. Apne memory limit ke issue ko resolve karne ek liye aapko apne server ke file maanager ya phir FTP client ki help se server se connect ho kar php.ini file ko edit karna hoga. Lekin php.ini file directly visible nahi hone ki wajah se ise sahi tarah se implement karne me pareshani hoti hai.
Aapki isi pareshani ko door karne ke liye aaj hum aapke liye ek aisa plugin lekar aaye hai jiski help se aapko apne php.ini file ko implement karne me koi bhi pareshani nahi hogi.
PHP Setting ek simple plugin hai jiski help se aap apne php.ini file ko easily access kar sakte hai. Is Plugin ko aap install aur activate kar len. Plugins ko activate karne ke liye aap hamare niche diye gaye guide ko follow kar sakte hai.
How To Exceed php Memory Limit ?
Is Plugin ko Install aur Activate karne ke baad aapko Dashboard me Tools me PHP Settings me jana hoga.
Php setting me aapke samne iska interface open ho jayega. Agar aapke Php setting me koi bhi variable set nahi hoga to Editor window blank hoga.
Setting variable me jane pe aapko upar diye gaye directives ke list open ho jayenge jise aap edit kar sakte hai. php.ini file jo pahle se overridden hogi uske aage pahle se overridden mension hoga.Aap upar diye gaye screenshot me dekh sakte hai.
Jin variables ko bhi aap set karna chahte hai use aapko checkbox me tick karna hoga, aur upar diye gaye copy to editor button pe clcik karna hoga.
Aapko jin boxes ko edit karna hai uske option ko check kar ke uncheck kare aur phir copy to editor kr option pe click kare.
Editor window me aap jo bhi value set karna chahte hai use set kare. Aur setting ko save karne ke liye save changes ke option pe click karna na bhoole.
Upar diye gaye method ka use kar ke aap apne post ke max-size, memory-limit, execution-time aur bhi bahut saare variable ko change kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( “How To Exceed php Memory Limit “) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read:
- WordPress Kiyon Use Kare ?
- Domain Name Kya Hota Hai?
- Theme Kya Hota hai?
- Subdomain Kya hai?
- Plugins kya hota hai?
- Hosting Kya hota hai?