Download iSO 12 update: Apple ne apne iOS 12 ke update ko release kar diya hai joke apple ke mobile aur tablet ka latest version hai. iOS 12 ka ye version iPhone 5s se lekar iPad mini2 tak sabhi iPhone aur iPad ke sath compatible hai.
Is OS ko dwonload karne ka process dono devices ke liye same hai. Yahan pe Apple ke naye OS ko download karne ke steps diye gaye hai aap use follow kar ke download kar sakte hai.
Also Read: MacOS Mojave Download or Install Kaise Karen
Jaisa ke har saal hota hai ke jaise hi Apple apne naye OS ke version ko Launch karta hai waise hi sabhi eligible iPhone and iPad users ko apne setting App me naye version ki notification mil jati hai. Naye OS ko download aur install karne ke process ko shuru karne se pahle aap apne data ka backup kar len.
How to Download iSO 12 update
- Setting pe tap karen uske baad General aur phir Software Update pe jayen.
- Process ko shuru karne ke liye ‘Download and Instal’ ke option pe click karen.
- Ek baar Download ho jane ke bad ‘Install and Agree with Apple’s Terms and Conditions’ pe tap karen.
- Update Install ho jane ke baad aapka device restart ho jayega.
Aapko ye bata dun ke iOS 12 ke update ko download karne ka time aur speed device aur internet ke speed ki wajah se vary kar sakta hai. Hamari salah hai ke aap WI-FI connectivity pe ise download karen
Agar aapke smartphone me Internet connection nahi hai ya phir ya phir internet connection na ho to aapko pareshan hone ki zaroorat nahi hai kyu ke iska dusra solution bhi hai aapko niche diye gaye step ko follow karna hai.
Internet se connected nazdiki PC/mac ke pass jayen, iTunes ko open karen aur niche diye gaye steps ko follow karen.
- Desktop pe iTunes ko open karen aur us device ko connect karen jise aap upgrade karna chahte hai.
- Top me aapko ek icon dikhega jo aapke device ko represent kar raha hoga uspe click karen.
- Summary tab me ‘Check for update’ pe click karen.
- Download aur Update karen.
- Aapko screen pe kuch instruction milenge aur aapka device iOS 12 run karne lagega.
Agar Aapko ye Article pasand aaya to aap hamare YouTube Channel ko Subscribe kar sakte hai. Aap hame Twitter aur Facebook par bhi follow kar sakte hai.