Kya aap apne WordPress website pe navigation menu add karna chahte hai. Aap apni site pe easily drag and drop menu interface ki help se easily drop-down menu create kar sakte hai. Is guide me hum aapko batayenge How To Create Menu In WordPress ?
Navigation menu ki help se aap apne user ko apne site ka structure provide karte hai. Navigation menu ki help se user ko aapki site pe information ko find karne aur site ke different section ko navigate karne me help milta hai.
WordPress navigation menu system ke sath aata hai, jiski help se beginners apne site pe navigation menu easily add aur manage kar sakte hai. Menu ka location theme to theme differ karta hai. Har ek theme me aapko kam se kam ek menu location zaroor milega.
How To Create Menu In WordPress ?
WordPress me menu create karne ke liye aapko WordPress admin area me Appearance me Menus ke option me jana hoga.
Menu pe click karne ke baad screen pe aapko do column dikhega. Colum ke left me pages, categories, aur custom links tab ke options dikhenge. Coloum ke right side me aap menu item ko add aur adjust kar sakte hai.
Top me “Create Menu” button pe click kare aur Name field me menu ka kuch bhi naam naam enter kare. Aur uske baad create menu button pe click kare.
Aap dekh sakte hai ke screenshot me diye theme location me primary, secondary, aur social hai. Ye location theme ke sath change hota rahta hai.
Ab aapko us page ko select karna hai jise aapko menu me add karna hai. Aap left side me aa rahe menu se page ko select kar ke Add to menu button pe click kare.
Menu me page add karne ke baad aap us theme ke location ko select kare jahan pe aap menu ko display karna chahte hai aur “Save menu” button pe click kare.
Save menu pe click karne ke baad aap menu ko apne site pe action me dekh sakte hai.
Aap menu ko simply drag and drop kar ke arrange kar sakte hai.
Nested Drop-Down Menus :
Nested menu aapke site ke liye ek properly structured navigation system create karne me help karta hai. Nested menu ko drop down menu ke naam se bhi jana jata hai jise parent aur child ke form me create kiya jata hai.
Nested menu create karne ke liye aapko menu item ko parent item ke niche thora right side me drag kar ke drop karna hota hai. Aisa karne se wo automatically sub-menu item ban jata hai.
Aap ek parent item me bahut se child item ko add kar sakte hai.
Add Categories to WordPress Menus :
WordPress me categories ko add karne ke liye aapko un categories ko select karna hoga jise aap menu me add karna chahte hai, aur add to menu button pe click karna hoga.
Aap dekhenge ke menu structure column ke niche categories ke option aane lagenge.
Ap aerow ke sign pe click kar ke kisi bhi menue ko edit kar sakte hai.
Remove ke option ko select kar ke aap menu ko remove bhi kar sakte hai.
To Doston bas itnahi, Ummid hai aapko ye article ( How To Create Menu In WordPress ) informative laga hoga. Agar aapka koi swaaal hai to aap humse comment section me pooch sakte hain. Apke liye ye ( WordPress in Hindi ) course design kiya gya hai, Is Website pe apko WordPress Complete Course Hindi me mil jyega, Agr aap WordPress se related videos dekhna chahte hain to aap hmare WP Seekho YouTube Channel par bhi visit kar sakte hain.
Also Read :
- LumaFusion PC Style Video Editing App For Android & iOS
- Professional Mobile video Editing | VN Video Editor App
- Canva – Graphic Designing App For Mobile
- 5 Steps – Successful Freelancer Guide
- Mobile Se Professional Video Editing Kasie Karen